Sabaq 44

SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)
 
🌺 LESSON NO: 44 🌺
🌺 SABAQ:-
🔻Quraysh  ka hijrath kiye hue Mominon ko wapas lana
(Continued)
🔻Mushrikeen behad gussa hue.
✨ QURAYSH KA HIJRATH KIYE HUE MOMINON KO WAPAS LANA (CONT…) ✨
🌺 Badshah ne bahuth sabr se Ja’far bin Abu Taalib ( R.A) ki baat suni. Uske baad usne Ja’far( R.A) se pucha ke kya woh kuch ayaah tilawath kar sakte hai jo Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ko naazil hui. Ja’far ( R.A) ne Surah Maryam ki shuruath ki ayaah tilawath ki. Badshah itna rone lage ki unke aansu , unki daadi tak bah nikle, aur paadriyan bhi yeh sunkar apne aap par gaabu na kar paye.
👉” sacchayi hai, yeh aur jo Isa( alaihi salaam) ne jo bhi laya , woh ek hi ruhaani noor se hai.”
🌺 Phir Quraysh ke numaindon ki taraf mutawajju hokar, Badshah ne kaha:
👉” Aap log ja sakte ho,Khuda ki kasam, main inlog ko hargeez tumhe nahi dunga aur naahi inlog se koi bura bartaaw hoga.”
🌺 Quraysh ke do numainde ab apni shaatirana tajveez badaldi. Dusre din woh wapas Badshah ke darbar pahunche aur dobara zoro-shor se koshish karne lage ,Badshah ko raazi karne ki ke woh Mominon ko watan ke bahar karde. Amr ne Badshah ko Mominon ke khilaaf bhadkane ki koshish karne laga.
👉”O Badshah! Yeh log Isa (alaihi sallam) ke baare mein bahuth hi khatarnaak dawa karte hai,  jise aapke saamne rakne ke liye bhi mujhe bahuth sharm aati hai”
🌺.Badshah ne phir se hukum jaari kiya ki Mominon ko darbar mein pesh kiya jaye aur unse sawaal kiye ki woh log,
“Woh log Isa( alahi sallam) ke nisbath kya yaqeeda rakte hai” Ja’far bin Abu Taalib ne jawaab diya:
👉 “Hum unke baare mein wahi kahte hai jo Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne hame sikhaya. Isa ( alaihi salaam) ek insaan the aur Allah (swt) ke bheje hue Paigamber. Woh ek ruh aur ek alfaaz hai jo muqaddas kunwaari  Mayam mein  daal diya tha.”
🌺 Badshah be zameen par se ek sukhi ghaas ka tinka uthaya aur kaha:
👉 Khuda ki kasam, Isa ( alaihi salaam), Maryam ke farzand, ke baare mein jo kuch tum ne kaha , woh is tinke ke barabar bhi galat nahi hai. Jao aur mere elaakhe mein kahin par bhi aman aur hifazat mein raho. Jo bhi tum log se bura bartaaw karega, woh saza ja haqdaar hoga. Main tum log ko koi nuksaan nahi pahunchaunga , chahe uske liye mujhe sone ka pahad bhi kyun na ho badle mein de.”
🌺 Badshah ne phir hukum diya ke , saare nazrane , jo numaindon  ne pesh kiye the, saare wapad kar diye jaye. Buri tarah nakaamyaabi ke baad, do numainde bahuth sharminde hokar Arab ko wapas rawana ho gaye.
✨ MUSHRIKEEN KA HAD SE ZYADA GUSSA HONA ✨
🌺 Abyssinia mein jo kuch hua, sunkar Quraysh bahuth gussa hue. Badshah ke darbar mein unka mazaak udhaya gaya, unke qabilon ke naam ko badnaam kiya gaya — yeh sab sirf kuch abad kar ki jamaath ki wajah se. Unlog ne tay kiya ki, iski saza Momin jhelenge, woh bhi apna khoon baha kar.
🌺Magar, woh is beizzati ka badla kaise lenge?Quraysh ke laakh tajveezon ke baawjud ,  Abu Taalib tho jamke apne bhatije ke haq aur madad mein tahre hai. Apne chachajaan ki madad aur himayat ki wajah se Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) apni muhim ko jaari rakhe hue hain.
🌺 Quraysh ne har tarah se koshish ki Islam ko barbaad karne ki: zulm aur sitam, qatal karke, rushwath dekar, bahes karke, aur samjhauthe bhi karke. Lekin kuch kaam nahi aaye.
🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺
TO BE CONTINUED…..
END OF PART 44…..

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s