🌻Assalamu alaikum Wa
Rahmatullahi Wa
Barakaatuhu 🌻
🌻SEERAH OF MUHAMMAD
( SalAllahu alaihi wa sallam)
🌻 LESSON NO : 58 🌻
🌻 SABAQ:-
🔻Quraysh ne Abu Taalib ko darkhwaasth pesh ki.
🔻Gamgeen saal
✨QURAYSH NE ABU TAALIB KO DARKHWAASTH
PESH KI ✨
🌻 Boycott khatam hone ke kuch mahine baad, Abu Taalib bemaar ho gaye. Woh assiy(80) baras ke ho chuke the, aur Quraysh ne soch liya ki ab woh wapas theek nahi ho sakte. Jab ke yeh khabar , Makkah ke mushrikeen ke liye khushi ki baat thi, lekin Quraysh mehsus kiye ki yeh baat, halaath ko aur payncheeda kar sakti hai. Yeh jazeere ke dusre qabile ke log kis nazariye se dekhenge, woh apas mein ek dusre ko puchne lage, agar woh Chachajaan ke inteqaal
ke baad Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko saza diye toh?
🌻 Unlog ne faisla kiya ki yeh bahuth hoshiyaari ki baat hogi , agar woh sab Abu Taalib ke paas tajveez pesh karey:
👉” Apne bhatije se kaho ke woh hamare khudaaon ke maamle mein chup rahe, aur hum sab uske deen ki taraf khamoshi ikhtiyaar kar lenge.” Abu Taalib , yeh jaankar ke woh ab zyada din tak zinda nahi rahenge, yaqeenan dilchaspi rakhte the ki , unke inteqaal ke baad unka bhatija mehfuz rahe, iske liye woh kuch na kuch raasta dundna chahte the. Unhone, Quraysh ki tajveez suni aur apne jaan-nasheen bhatije ko apne palang ke kinare bulaya.
🌻 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) sune aur Abu Taalib ki taraf pahunche.
👉 ‘Chachajaan!” Aap ne kaha. ” Main in log se ek hi baat puchunga. Aur agar yeh log is cheez ko maan lenge, toh saara Arab inke hukumat mein rahega aur jo Arab nahi hai , woh sab inka ehtraam karenge.”
👉 “Sirf ek hi cheez?” Quraysh ne pucha. “Hum aise dus baaten maan lenge. Woh kya hai?”
👉 “La ilaaha illAllah” Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha. Allah(swt) ke siwa koi aur mabood nahi.”
👉”Kya!” Quraysh ne kaha, is bayan par tajjub hokar. ” Yeh toh saare khudaaon mein se
Sirf Ek ka hawala de raha hai. Yeh toh bahuth ajeeb hai.”
✨ GAMGEEN SAAL ✨
🌻Abu Taalib ki saheth din ba din kharaab hoti jaa rahi thi, aur jaise hi inke mauth ki khadi nazdeek aane lagi, Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) unke nazdeek gaye. Aap ne dekha ki Abu Jahl aur Abdullah bin Abi Umayya , dono aapke chachajaan ke khareeb baite hue hai. Unki maujudgi ki parwah na karke, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne Abu Taalib se azizi ki ke woh apna imaan elaan karey, ” La ilaaha illAllah”.
👉 “Mere chachajaan , La ilaaha illAllah kahiye. Yeh bahuth hi seedha jumla hai, aur agar aapne kah diya, main Allah(swt) se guzarish karunga aur aapki magfirath ki dua karunga.”
🌻 Do budhparasth, bahrehaal , khamosh baitne se inkaar kiye.
👉 “Abu Taalib” , unhone cheekha. “Kya tum Abdul Muttalib ke deen ko tark karte ho?” Woh marte hue shaks se baat karna jaari rakha, jabtak ke Abu Taalib ke munh se woh alfaaz nikle , “……Jo Abdul Muttalib ke deen se hai.
🌻 Phir bhi, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) apne chachajaan se haath na chudaya. ” main Allah(swt) se aapki maafi ki dua karta rahunga jabtak ke mujhe mana na kiya jaaye.” Uske fauran baad yeh ayaah naazil hui:
📖” yeh sahi nahi hai ki Rasool aur uspar imaan laane wale momin, dua karey mushrikeen ke liye, haalanke woh unke rishteydaar hai, is baat ki saafaayi hone ke baad ke woh Aag mein rahnewaale hai( dozakhi) 📌( 9:113)
🌻 Dusri ayaah bhi naazil hui:
📖 ” Beshaque! Yeh nahi hai ke tum jise apni taraf se chaho , hidayath kardo, Haan Allah(swt) hidayath farmata hai, jise chahe aur woh khoob jaanta hai hidayatwalon ko.”📌(28:56)
🌻 Abu Taalib , maahe Rajjab mein inteqaal farmaye, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke muhim shuru hone ke dus saal baad. Haalanke unhone Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki madad ki aur Aap ki ,dushmanon se hifazath ki, lekin woh apne baap dada ke deen ko pakadkar inteqaal farmaye.
🌻 Abbas( R.A) jo Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki chachaon mein se ek the, Aap se ek baar pucha,
👉 ” Tum Abu Taalib ki ki kis tarah kidmat kar sakte ho, uski jo tumhari hamesha madad ki aur tumhare liye dusron ki khilafat ki?” Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha:
👉” woh dozakh ki upari hisse mein maujud hai. Agar main na hota toh, woh dozakh ke gehre gadde mein hote.”
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
TO BE CONTINUED……
END OF PART 58…………