🍒Assalamu alaikum Wa
Rahmatullahi Wa
Barakaatuhu 🍒
🍒SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
🍒 LESSON NO: 61 🍒
🍒 SABAQ:-
🔻Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ka Taa’if ka safar
(Continued)
✨RASOOL( SalAllahu alaihi wa sallam) KA TAA’IF KA SAFAR ( CONTINUED) ✨
🍒 Rasool ( SalAllahu alahi wa sallam) ne apna Makkah ka wapasi safar tay kiya, aur naummeedi aa baiti. Qarn Al -Manazil ke paas , ek baadal , Jibra’eel( alaihi salaam) ko liye hue, aur apne saath dusre aur farishtey ko lekar Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke saamne maujuud hue.
👉”Allah(swt) ne Aap ke liye pahadon ke farishtey ko bheja hai,” Jibra’eel( alaihi salaam) ne kaha.” Woh Aap ke hukum ka muntazir hai.”
🍒 Us pahodon ke farishtey ne kaha:
👉” Aye Muhammad! Main yahan hun, woh karne ke liye jo Aap mujhe hukum denge. Marzi Aap ki hai. Main Taa’if ke logon ko do pahadiyon ke beech daalkar masal dunga, agar yeh Aap ki chahath hai.” Lekin, Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) badla lena nahi chahte hai.
👉’Nahi. Main ummeed karta hun ke Allah(swt) unlogon mein se sherdil logon ko aage layenge , jo sirf Allah(swt) ki hi ibaadat karte hai, aur Allah(swt) ke saath kisi aur ko shareek nahi maante.”
🍒 Jibra’eel( alaihi salaam) se mulaqaath , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki himmat afzaayi badhaayi. Aap ab dasth bardaar (akelapan) nahi mehsus kiya, aur Aap ke dil se wazan hata diya gaya. Aap apna safar phir jaari kiya, aur kuch waqt ke baad, Nakhlah ke paas ruke, jahan Aap kuch din guzare the. Yeh Nakhlah ke paas hi tha, ke kuch ajeeb waqiyah pesh aaya. Rasool ( SalAllahu alaihi wa salkam) ko bhi is waqiye ka ilm na tha , jab tak ke yeh Qur’an mein naazil na kiya gaya.
🍒 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , Fajr ki namaz ada kar rahe the, ki wahan, jinn ki kuch jamaathon ne Aap ko Qur’an ki tilawath karte hue suna. Woh bahuth hi dilchaspi se sun rahe the, aur jab Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ka padhna mukammal hua, woh apne saathiyon ke paas gaye aur unhe bade azaab ka dar sunaya , unlogon ke liye jo Paigamber ki paigaam par yaqeen nahi rakhte.
🍒 Haalanke woh Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke rubaru ruju nahi hue, woh jinn jisne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko us subah suna tha , woh Islam qubool kar liya. Rasool ( SalAllahu alaihi wa salkam) ko , jo kuch hua tha, uska ilm na tha jab tak ke Allah(swt) ne yeh kahani Qur’an ke do alag alag Surah , Surah Al-Ahqaaf aur Surah Al-jinn mein naazil na ki .
🍒 Kuch din ke baad, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne Nakhlah choda aur Makkah ki taraf rawana hue . Jaise hi Aap Makkah ke nazdeek pahunchne lage, Aap tayaari karni shuru ki, kyun ke Aap Makkah mein bina kuch bachaav ke jana nahi chahte the, jaise ke Aap Taa’if mein chale gaye the. Aap, Hira ke paas ruke, aur ek shaks ko Akhtas bin Shariq ke paas , hifazath maangne ke liye bheja. Akhtas, bahrehaal, maafi talab ki aur is baat ko bataane laga ki , kyun ki woh Quraysh ke baith mein hai, woh Paigamber ki hifazath ke liye nahi aa sakta.
🍒 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne wahi paigaam Suhayl bin Amr ko bheja. Suhayl ne bhi hifazath dene se inkaar kar diya , kyun ke woh Banu Amir bin Luayy ke qabile ka hai, jinhone bhi Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko dushman kharaar kar diya tha. Phir Aap ne, Mut’im bin Adiy ko paigaam bheja. Mut’im ke dada , Naufal, Hashim bin Abdu Munaf ke bhai the, jo Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke baap dadaon nein se the, aur Abdu Munaf ka qabila , Quraysh ke sabse zyada izzat aur ehtraam wala qabila tha.
🍒 Mut’im ne apna Rasool ( SakAllahu alaihi wa sallam) ke beech ke rishte ki izzat karte hue , Aap ki hifazath karne ke liye tayar ho gaye. Unhone , apne beton ke saath, hathyaar thaame, Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ki hifazath ke liye nikle. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , seedha Ka’bah pahunche aur uska tawaaf kiya, choti si ibaadat ki aur phir ghar gaye. Yeh saare waqt tak Mut’im bin Adiy aur unke bete , Aap par nazar rakhe hue the. Mut’im phir elaan kiya ki woh Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ki hifazath aage badayenge.
🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒🍒
TO BE CONTINUED…….
END OF PART 61…….