SABAQ 62

🌱Assalamu alaikum Wa 
      Rahmatullahi Wa 
       Barakaatuhu 🌱      
🌱SEERAH OF MUHAMMAD
( SalAllahu alaihi wa sallam)
🌱 LESSON NO: 62 🌱
🌱  SABAQ:-
🔻 Mushrikeen ne nishaan ka mutaliba kiya
✨ MUSHRIKEEN NE NISHAAN KA MUTALIBA 
             KIYA  ✨
🌱 Makkah ke mushrikeen ko Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ke paigamber hone ki sachaayi ki tasdeeq karne ke liye kai nishaaniyan batayi gayi, magar woh unhe jhutlate gaye. Haalanke, woh log aur nishaaniyan qubool karne ke liye tayar nahi the, lekin woh Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) se  mutaliba karne lage ki Allah ( swt) unhe saaf aur pokhtha sabooth bheja ki Aap beshaque haqeeqat mein Uske bheje hue paigamber hai. Unlogon ka irada sirf yeh tha ki , Aap ko logon ke saamne sharminda aur beizzat kare. 
🌱 Ek din mushrikeen Ka’bah ke paas ikkata hue aur Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko khabar bheje. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) fauran inlog se mulaqaath karne aa pahunche, yeh sochkar ki shayad , yeh log Islam qubool karne ki  mumkeen baaten karenge. Aap unlog ke saath baite, wahi sab mutaliba sunne , jo wohlog pahele bhi kar chuke the:
👉 “Muhammad, Tum hame kahte ho ke Paigamberon ki nishaaniyan hoti hai: Musa(a.s) ka chamtakaari asa, Saalih(a.s)  ke paas uunt, aur Isa(a.s) ka dobara zinda hona. Saare paigamber jo pahele aa chuke hai , poktha nishaaniyon ke saath aaye.  Hum chahte hai ki,  tum bhi hame aise hi kuch pokhtha nishaaniyan tasdeeq karo,  ki tum bhi unhi ki tarah ho.”
🌱 Quraysh ki soch mein , paigamber woh hai, jiske paas maujza batane ki taaqat ho. Unhe yeh samaj nahi thi ki Allah (swt) hi yeh saare maujze karta hai , apne paigamberon ki zariye. Yeh gunge, bahere aur andhe the, jaise ke Allah( swt) inki Qur’an mein khususiyaath bayaan ki hai, mushrikeen inkaar karta hai , woh saari nishaaniyan dekhne jo Allah ( swt) ne apni Kainaath aur Qur’an mein zaahir ki hai. Iske bajay , yeh log jaadu ke bade bade kaarname dekhna chahte the.
🌱 Uske mutabeeq, woh log Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) se kahte the ki , in cheezon mein se kuch kare: pahaad -e- Safa ko ek sone ka pahaad bana de, pahaadiyon ko  kahin aur lejaaye aur unke aaspaas ki jagah ko badi waadi mein tabdeel karde, paani ke chashme  bahade, ya unke baap dada ko dobara zinda karde , taake woh itminaan ho jaaye ki Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) sacche paigamber hai.
🌱 Allah(swt) ne inke saare  nishaaniyon ke mutalibe Qur’an mein bayaan kiya hai:
📖” Aur woh kahte hai, ke hum hargeez tajveez Imaan nahi layenge, tab tak ke tum hamare liye zameen se koi chashma phoot  laaye.- tumhare liye khajooron aur angooron ka koi baagh ho aur phir tum iske beechon beech khoob nahren khod daley.- yah  phir aisa kardo,  jaise ke tum gumaan karte hoke hum par aasmaan ko tukdon ki surat mein giraadey; ya phir Allah(swt) aur uske farishton ko hamare rubaru laa dey; ya phir le aaye sone( aish aur araam) ka koi ghar; ya phir aasmaan par chad jaao. Nahi, hum tumhare aasmaan par chadne par bhi Imaan nahi layenge jab tak ke tum hame kitaab na lakaar de, jo hum pad sakte hai!”📌 ( 17: 90-93 )
🌱Mushrikeen ne dawa kiya ki agar Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) , in moujze mein se koi bhi maujza karde, toh woh Islaam qubool karlenge.In log ka yeh vada bhi Qur’an mein bayaan hai:
📖 “Woh apne vade  ko lekar Khuda  ki badi kasam khate hai ki, agar unhe koi nishaan de diya jaaye, toh woh yaqeen karenge.”📌(6:109)
🌱 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , Allah(swt) se dua karte hai , yeh puchte hue ki Woh , in mushrikeen ko , in mein se kuch nishaan batade. Phir Jibra’eel(a.s) , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas Allah(swt) ka jawaab lekaar naazil hote hai: 
👉 Paigamber , do ikhtiaraath mein se ek ka intikhaab kar sakte hai. Pahla yeh ke, mushrikeen ko koi ,  in mein se kisi ek ka nishaan batayenge jo unlog ne pucha hai., lekin ek sharth par: agar woh log nishaan dekhne ke baad  bhi imaan na laaye toh inhe  duniya mein bahuth bada azaab hoga, jo kisi aur par na hua hai. 
👉 Dusra ikhtiyaar yeh hai ki unhe koi nishaan na bataye jayega jaise ke unlog ne guzarish ki hai, lekin tauba aur rahem ke darwaaze unke liye hamesha khol diya jayega.
🌱Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) be bahuth hi hoshiyaari se Jibra’eel(a.s) ko kaha: ” Rahem aur taubah ke darwaaze khol diye jaaye.”
🌱🌱🌱🌱🌱🌱🌱🌱🌱
 TO BE CONTINUED……..

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s