🌷Assalamu alaikum Wa
Rahamtullahi Wa
Barakaatuhu 🌷
🌷SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
🌷 LESSON NO : 63 🌷
🌷 SABAQ:
🔻Mushrikeen ne nishaan ka mutaliba kiya(continued)
🔻Chand ka do tukde mein shagaaf(alag) hona
✨MUSHRIKEEN NE NISHAAN KA MUTALIBA KIYA ( continued) ✨
🌷 Al-Qur’an , Allah(swt) ka jawab qalamband kiya jo Mushrikeen ko diya gaya, jo , Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) se shaandaar maujze ka mutaliba kar rahe the.:
📖” kaho: Tareef mere Rab ki! Kya main sirf insaan nahi jise paigamber bana kar bheja gaya?”📌(17:93)
🌷 Yeh ayaah saaf saaf bayan karti hai ki, Muhammad(SalAllahu alaihi
wa sallam), dusre paigamberon ki tarah, khud ki taaqat nahi rakte, jo aise maujze kar sake, lekin Allah ( swt) faislaa karte hai ki kab, kahan aur kaise Apni nishaaniyan naazil kare. Paigamberon ko yeh nishaaniyan is liye di jaati hai ki, yeh sabith kar sake ki, ke yeh paigamber hai.
🌷 Allah(swt) kahte hai:
📖 ” Kaho: Beshaque saare nishaaniyan Allah(swt) ke quwwat mein hai. Magar tumko kaise ehsaas hoga ke agar unhe nishaan bhi mile, woh imaan laane wale nahi?”
📌( 6:109)
🌷 Mushrikeen ke liye, jisne saaf saaf nishan dekhne ka mutaliba kiya tha, Allah(swt) ne Rasool( SalAlkahi alaihi wa sallam) se Qur’an mein farmaya:
📖” Agar main inke paas farishtey bhi naazil kiya, aur murde bhi inke rubaru hokar baat karey, aur main saari cheezen ek saath inke ankhon ke saamne pesh karu, yeh log imaan laane wale nahi, jabtak ke main na chahun. Lekin in mein bahuth saare, sach ko inkaar karte hai.”📌( 6:111)
🌷 Aur Allah (swt) ne farmaya:
📖” Agar aisi koi Qur’an hoti , jisse pahadon ko hataya ja sakta, ya zameen ko phaadkar, murdon ko baat karne diya jayega, toh woh yehi hoti.Beshaque! Iska hukum sirf Allah(swt) ke zimme hai. Kya imaanwale nahi jaante ki Allah (swt) yeh chahta hai, Woh saari inaaniyath ki hidayath kar sakta tha.”📌(13:31)
🌷 Is tarah , Allah(swt) ne Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ko aur imaanwalon ko hidayath farmaayi ki woh apne imaan ki safaayi na pesh karey. Ab boaj un par hai jo imaan par nahi hai ke woh Islam ki taraf ruju kare. Aur woh kaise imaan layenge, agar Allah(swt) jiske zimme hidayath hai, jabtak na chahe?”
✨ CHAND KA DO TUKDON MEIN SHAGAF( ALAG) HONA ✨
🌷 Jaise shaandaar maujze ka mutaliba , mushrikeen ne kiya tha, unka na hona , Quraysh ko yeh yaqeen diladiya ke Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam)
kamzor hai. Ab woh log Aapko ko koi bhi nishaan bataane ko kaha. Agar Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) koi choti si bhi nishaani nahi pesh ki, toh Quraysh yaqeen karliye ki, yeh sab logon ke saamne saabith ho jayega ki Aap jhuthe paigamber hai. Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ko akhirkaar khamosh kardega.
🌷 Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) , Allah(swt) se dua kiye aur Unse pucha ki Woh Quraysh ke liye koi nishaan bataaye. Akhirkaar , Allah(swt) ne Quraysh ko saaf sabooth pesh kiya; chand ki do hisse ho gaye , aur ek ek hissa Gar-e-Hira ke do taraf saaf saaf dikhaayi diya.” Is ke tum sab gawah ho jaao” , Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha.
🌷 Pahelo toh , mushrikeen, uspar yaqeen hi na kar paye jo unhone dekha. Unke ankhon ke saamne, chand do hisson mein bat gaya. Shuru mein choukne ke baad, bahrehaal, unlogon ne faisla kiya ki, woh kuch bhi nahi hai balki Abu Kabsha ke bete ka koi chamatkaar hai.
👉”Ho sakta hai ki woh hamare upar kuch jadoo kargaya, isliye hum intezaar karenge , koi musafeeron ke Makkah aane ka aur un se puchenge ki kya woh bhi is manzar ko dekha.”
🌷 Jaise hi chand musafeer Makkah pahunche, Makkahwalon ne unse pucha ki , kya woh ajeeb manzar dekha. Musafeeron ne tasdeeq ki ke woh bhi chand ke do hisson mein batna dekha hai. Ab koi shaque ki gunzaish hi nahi thi, uspar, jo inlogon ne dekha, lekin Quraysh imaan na laane par ab bhi zidd par ade baite .
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED…….
END OF PART 63…….