🌹Assalamualaikum Wa
Rahmatullahi Wa
Barakaatuhu 🌹
🌹SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
🌹LESSON NO:-64 🌹
🌹SABAQ:-
🔻Raat ka safar (Israa) aur Mi’raaj.
✨RAAT KA SAFAR (ISRAA) AUR MI’RAAJ ✨
🌹Ho sakta hai ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke zindagi ke bahuth hi ahem aur gairmaamuli, khabile zikr waqiye hai , ‘Israa” (Raat ka safar) aur “Mi-raaj”. “Israa” ruju karta hai kaise Allah(swt) ne Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ko ek raat Ka’bah se Bait Al -Maqdis( ” paak ibaadatgah) jo Jerusalem mein waqeh hai , lekar gaye. Aur “Mi’raaj ruju karta hai Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ka asal mi’raaj hona Jerusalem se jannath ki taraf.
🌹Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka “Israa” , Qur’an ki in ayaah mein bayaan kiya gaya hai:
📖” Paak hai woh jo raat ke waqt apne bande ko masjid-e- haram se , masjid-e-Aqsaa ki taraf le gaya, jiske mahol ko hamne barkat diya hai, taake hum ise apne nishanaath mein se kuch dekhayen- Yaqeenan Allah(swt) bahuth sunnewala aur gheri nazar rakhnewala hai.”📌(17:1)
🌹 Kuch zariye yeh bhi batate hai ki “Mi’raaj” ka waqiyah bhi Surah An-Najm ke sattarven(17) se lekar attarven(18) ayaah mein bayaan kiya gaya hai. “Israa” aur “Mi’raaj” kab hua tha, is ke raay mein ikhtelaaf hai.
🌹Kuch zariye , yeh batate hai ki , yeh waqiyah nabuwath ke pahle saal mein hua aur dusron ka kahna hai ki yeh nabuwath ke paanchwe (5) saal mein hua. Kuch auron ka kahna hai ki yeh waqiyah Rajjab 27, nabuwath ke daswen(10) saal mein ,ya Ramadan 17 , nabuwath ke baarwen(12) saal mein, ya Muharram ya Rabi’ Al-Awwal mein , nabuwath ki therwen(13) saal mein hua.
🌹Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ke Raat ka safar aur Mi’raaj ka waqiyah , bahuth hi khubsoorat aur nasihath dene wala waqiyah hai. Yeh shuru hua, jab farishtey Jibra’eel(a.s ) , Ka’bah par naazil hue “Burraq”ke saath. “Burraq”ek aisa jaanwar jo ghadhe se bada aur kachar se chota hota hai, woh tez raftaar se dur afaq(horizon) tak pahunchta hai. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) aur Jibra’eel (a.s) Burraq par Jersualem ke Masjid-e-Aqsaa ke liye sawaar hue. Jaise hi , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) wahan pahunche, Aap ne jaanwar ko masjid ke bahar baandha, wahan, jahan pahle paigamber bhi apne sawaariyan bandhe the.
🌹 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) masjid mein daakhil hue , jahan Aap ne dekha ki peechle saare paigamberon ki jamaath maujuud hai, jiske namaz ki imaamath Aap ne ki. Jibra’eel(a.s) ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke liye do bartan laaye, ek bartan mein jaam tha, aur dusre bartan mein doodh. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne dusra bartan chuna. Jibra’eel(a.s) ne Aapki pasand par tasdeeq karte hue kaha:
👉’Aap ne doodh chuna , jo Aap ke paak kirdaar ki tasdeeq karti hai. Beshaque , Aap ko aur Aap ke sahabiyon ko bhi hidayath mil chuki. Agar Aap jaam pasand karte , toh Aap ke maanne wale gumraah ho jaate.”
🌹Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ko pahele , pahele aasmaan par tashreef lejaya gaya, jo Mi’raaj ka pehla padav tha. Jibra ‘eel (a s) ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke liye darwaza kholne ko kaha, aur wahan maujuud the Adam(alaihi salaam) , pahele Insaan aur Paigamber. Adam(alaihi salaam) ne kaha ,” Assalamuakaikum” jiske jawab mein Aap ne kaha” walekumassalam.”
🌹 Adam(alaihi salaam) phir gawaahi di ke Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) , Allah(swt) ke paigambet hai. Adam(alaihi salaam) ne apne seedhe taraf dekha aur muskuraya, aur phir baayen taraf dekha aur roye. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Adam(alaihi salaam) ke dono taraf, do jamaathon ke logon ko dekha, woh log jise dekhkar Adam(alaihi salaam) ne muskuraya, woh imaanwaale the, aur dusri jamaath jis par aap ne raya tha woh mushrikeen the.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
TO BE CONTINUED……..
END OF PART 64…….