SABAQ 66

🌹Assalamu alaikum Wa
          Rahmatullahi Wa 
           Barakaatuhu 🌹
🌹SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam) 
🌹LESSON NO: 66 🌹
🌹SABAQ:-
🔻Raat ka safar (Israa) aur Mi’raaj ( continued)
✨RAAT KA SAFAR(ISRAA) AUR MI’RAAJ (CONT…).✨
🌹Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko Allah(swt) ke saamne laya gaya. Jyunke , koi insaani aankhen , Allah(swt) ke noor ko bardaashth nahi kar sakte, Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) , apne nazren Allah(swt) ki taraf bilkul utha nahi paaye, lekin Aap , Allah(swt) ke bilkul nazdeek maujuud  the. Allah(swt) ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko itela di ke unke maanne walon par , ek din  mein  5⃣0⃣ waqt ki namazen farz ki gayi  hai.
🌹Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko Jibra’eel(a s) ne wahan se ruksat le gaye. Musa(alaihi salaam) ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko rukaya aur pucha ke Allah(swt) ne kya hukum diya.
👉” Din mein 50 waqt  ibaadat” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha.
👉🏾” Aap ke sahabi itne taqatwar nahi hai. Apne Rab ke paas lautiye aur puchiye ke inhe asaan karey,” Musa (alaihi salaam) ne taakeed ki. Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ne Jibra’eel(a.s) ki taraf dekha , unhone Aap se kaha,” Agar Aap aisa chahte ho toh , Aap kariye.”
🌹Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , wapas Allah(swt) ke paas laute aur jaise ke Aap ko taakeed mili thi, Aap ne waise hi kiya. Allah(swt) ne farz namazen 50 se 10 kardi. Phir se Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ko wahan se le jaya gaya aur phir ek baar Musa (alaihi salaam) ne Aap ko roka. Yeh sunne ke baad ke farz namaz ke tadaad 50 se 10 kardi gayi, Aapne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko taakeed ki ke , namazon ki tadaad phir ek baar aur kam karaye.
🌹Allah(swt) ne farz namazen kam karke 5 waqt ki kardi. Jab Musa (alaihi salaam) ko  is baat ka ilm hua , toh Aap , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko taakeed ki ke , Allah(swt) ko namzen aur kam karne ke liye puche. Bani Isra’eel ne, Musa (alahi salaam) ne kaha, hum ko kam karne ke liye kaha gaya tha, lekin yeh log (Bani Isra’eel) ; apne ahkaamon ko pura na kar paaye.
🌹 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) dobara wapas nahi jaane ki niyath ki.
👉 ” Mujhe mere Rab ke saamne sharn aati hai.” Aap ne kaha. Ek awaaz ne elaan kiya:
👉🏾” Main ne Mere farayez jaari kiye aur Mere gulaamon ke liye , Maine ise asaaan kar diya . Woh jo paanch waqt ki ibaadat karega, use 50 waqt ki ibaaadat ke barabar  ka tohfa diya jayega. Maine jo hukum de diya , use badla nahi jayega.”
🌹 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam)  wapas Makkah suraj nikalne se pahle aa gaye , aur dusre din subah , Aap ne sab logon ko apne karamati safar aur jannat ki Mi’raaj ke baare mein bataya.Behrehaal, Makkah ke mushrikeen ne Aap ka dawa sunkar hasne lage. Kuch log Abu Bakr( R.A) ke paas daude aur yeh kahani sunayi, yeh sochkar ki shayad unka Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallsm) par se yaqeen khatam ho jaaye. “Agar Unhone kaha aisa,” Abu Bakr( R.A) ne kaha,” toh  woh sach hoga.”
🌹Abu Bakr( R.A) ka jawab ke woh kis tarah yaqeedah rakte the, musalmanon ke har nasal  aaj tak mutasir hai. Jyunke , aap imaan laaye ke Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam)  beshaque Allah(swt) ke paigamber hai, woh jisko farishtey Allah (swt) ki taraf se, jo saari kainaath ka Qadeer hai wahi naazil farmatey hai, toh woh shaks kaise yaqeen nahi karega ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne aasamani safar aur waqt tay kiya tha? Us din ke baad Abu Bakr(R.A) ko “Siddeeq”( woh jo yaqeen rakta hai)  kahkar bulaya gaya.
🌹 Yeh saabith karne ke liye ke Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) jhooth bol rahe hai, Makkah ke mushrikeen jo Jerusalem aur Masjid-e-Aqsa se waaqif the, Aap se safar ke baare mein sawaal karne lage.Aap ne har ek baat itni tafseel se bayaan ki ke,  koi Aap ki baaton mein galt pakad na paaya.
🌹Iske alawa, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne Makkahwalon ko us caravan ke baare mein bhi bataya, jo Jersualem se Makkah  safar kar rahe hai, yeh batate hue ki kitne unten hai, kis halaath mein hai, aur  kaunse waqt woh Makkah pahunchenge. Jerusalem se woh caravaan , Makkah usi waqt pahunchi , jo waqt Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ne bataya tha, aur har ek ne dekha ki aap ki tafseel bilkul sahi thi. Lekin mushrikeen abhi bhi apne kufr mein jagde hue the.
🌹 Usi din subah, Jibra’eel (.a.s) uthre, aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko paanch waqt ki namaz ka tareeqa seekhaya. Jibra’eel (a. s)  ke mulaqaath Ke baad, Musalmaan , ek din mein paanch waqt ki namaz subah aur shaam  padhna shuru kiya.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
TO BE CONTINUED……..
END OF PART 66………

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s