🌷Assalamu alaikum Wa
Rahmatullahi Wa
Barakaatuhu 🌷
🌷SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
🌷 LESSON NO: 6⃣7⃣ 🌷
🌷 SABAQ:-
🔻Alag alag qabilon ko Islam ki dawath di gayi.
🔻Imaan ke beenj Makkah ke bahar bhi ugne lage.
✨ALAG ALAG QABILON KO ISLAAM KI DAWATH DI
GAYI ✨
🌷 Phir ek baar , waqt aa gaya tha ke , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , Allah(swt) ka paigaam, logon tak Makkah ke bahar bhi le jaayen. Arab ke har jagah ke qabile , Ukaz, Mujanna aur Dhul Majaz ka safar tay karte hai , jahan har saal theen(3) bade bade mele hua karte the. Pahela mela Ukaz mein, ek gaaon(village) jo Nakhlah aur Taa’if ke beech mein tha, wahan par mela Dhul Qa’dah mahine ke pahele 20 din chalta hai. Phir wahan se qabile , Mujanna ke liye nikal padte aur wahan par apne bazar lagate.
🌷 Akhirkaar, Dhul Hijjah ke pahele aat(8) din , Dhul Majaz, jo Jabal Rahmah ke peeche , Arafah ke maidaan mein hai, wahan bazar lagaya gaya. Log wahan par akhri mela khatam hote hote, haj, umraah aur apne riwazen pure karte. Yeh maukha dekh kar ke , log zyada tadaad mein honge, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne alag alag qabilon se mulaqaath farmaye aur Allah( swt) ka Tawheed ka paigam aur Aap ke paigamber hone ka paigaam unlog tak pahunchane lage.
🌷 Jin logon ko Islam ki dawath di gayi woh the, Banu Amir bin Sasa’a, Banu Fazara, Ghassan, Murra, Banu Hanifa, Banu Sulaym, Banu Abs, Banu Nasar, Banu Al-Baka’a, Kinda, Kalb, Banu Al-Harith bin Ka’b, Udhrah aur Hadharma. In mein se koi bhi , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki dawath qubool nahi ki, lekin yeh sab alag alag tareekhe se jawaab diya. Kuch log , khamoshi se inkaar kar diye, kuch log ne pucha ki, Aap ke baad unko waris mukharar kare, kuch logon ne yeh baat izhaar ki ke Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ke rishtedaar aur qabile walon ne bhi Aap ki dawath qubool nahi ki, aur kuch logon ne beizzati karna shuru kar diya.
🌷Banu Haneefa, Musaylimah Al-Kaddhaab ka qabila, ya Musaylimah -e-Jhooth( woh jo baad mein apne aapko paigamber kah kar pesh kiya) , zyadatar Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke saath badtameezi se pesh aaya.
✨IMAAN KE BEENJ ,(ANKUR) , MAKKAH KE BAHAR BHI UGNE LAGE ✨
🌷 Haalanke, Makkah ke mushrikeen , zyada tadaad
mein Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ka inkaar kiya, Makkah ke bahar chand log ne Islam qubool kiya. Unmein se kuch logon ka zikr niche diya gaya hai:
1⃣ Suwayd bin Samit: Yeh Yathrib ( aaj ka Madinah) ke shayar the, Suwayd , Makkah ko umrah karne aaye the. Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne aapko Islam ki dawath di, Suwayd ne apni shayari mein se kuch ashayar, Rasool( SalAllahu alaihi wa salkam) ko sunaye. Iske jawab mein Aap ne Qur’an ke ayaah ki tilawath ki. Yeh elaan karte hue ki,” maine kabhie bhi aise alfaaz nahi sune,” Suwayd ne Islam qubool kiya. Suwayd , Aus aur Khazraj ke darmiyaan ki ladaayi mein maare gaye.
2⃣ Ayas bin Mu’adh: Aap bhi Yathrib se the, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki muhim ke gyaarweh (11) saal mein , yeh Makkah aaye.Woh Aus qabile ke numainde the, jo apne dushman qabila Khazraj se ladaayi karne ke liye , madad ke liye Makkah aaye the. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , inhe Islam ki dawath di aur inhe Qur’an ki ayaah tilawath karke sunaayi. Jab Ayas ne Aap ki tilawath suni, toh woh apne saathi numaindon se kahne lage, “Khuda ki kasam, yeh toh zyada beheter hai, us kaam se , jis kaam se hum aaye hai.”
🌷 Ayas ke qabile ke saath, Abul Husayr ne , aap ke chere par kankarey pheke aur kaha: ” yeh chodo! Hum yahan par koi aur maqsad se aaye hai,” Ayas ne khamoshi ikhtiyaar karli. Yathrib ko lautne ke baad , Ayas bahuth buri tarah bemaar hue. Ayas ka , Allah( swt) ki tareef karna aur Uski shaan bayaan karna , apne inteqaal se pahele, shaque ki koi gunjaish hi nahi thi ke aap ne Islam qubool kiya.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED……
END OF PART 67…….