SABAQ 68

🌹Assalamu alaikum wa Rahmatullahi wa Barakaatuhu 🌹
🌹SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
✨LESSON NO: 6⃣8⃣ ✨
🌹SABAQ:-
🔻Imaan ke beenj Makkah ke bahar bhi ugne lage (continued) 
✨ IMAAN KE BEENJ MAKKAH KE BAHAR BHI UGNE LAGE (CONT….) ✨
3⃣ Abu Dhar Ghifari:  Aap ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke baare mein Suwayd bin Samit aur Ayas bin Mu’adh ke zariye suna tha aur woh, Aap ke baare mein aur zyada jaanne ki dilchaspi rakte the. Yeh apne bhai ko , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke kirdaar  ke baare mein aur zyada jaankari haasil karne ke liye Makkah bheja, lekin unke bhai ke Maakah se wapasi ke baad aur jo kuch unhone Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke baare mein bayaan kiya, usse mutmayeen nahi hue.
🌹Iski wajeh se , woh khud Makkah jaane ka faisla kiya. Abu Dhar Makkah pahunche, apni zindagi ke khauf se , inhone Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke baare mein nahi pucha. Akhirkaar, Ali(R.A) ne inhe Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas lekar gaye, wahan Aap ne inhe Islam ke farayez samjhaya. Abu Dhar , bayaan sunkar mutmayeen hue aur Muslim ho gaye.
🌹Ab unka dil himmath aur imaan se bhar gaya, Abu Dhar Ka’bah gaye , yeh elaan karne ke liye ki , ab unhone Islam qubool kar liya hai. Quraysh ne unhe maaron se jawab diya, Abbas(R.A) , Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ke chachajaan ne beech mein aakar , Abu Dhar ko marne se bachaya. Dusre din phir Abu Dhar ne Ka’bah ke paas jaakar elaan kiya, aur phir Abbas(R.A) ne unhe Quraysh ke haathon se bachaya.Abu Dhar phir wapas apne qabile Banu Ghifar laute, aur apna qabila jab hi chode tab dusre muslims ke saath Madinah hijrath kiye.
4⃣..Tufayl bin Amr Dausi: Yeh bahuth hi mashoor shayar aur Daus qabile ke sardaar the, jo Yemen ke bahari sarhadon par raha karte the. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke  Islam ke muhim ke shuru hone ke gyarah(11)  saal ke baad, Tufayl Makkah aaye, jahan unhe Quraysh pahele se hi khabardaar kar diye the,  Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke khatrnaak jaadu karne wale bayaanon ke baare mein.
🌹Tufayl , Ka’bah ko apne kaanon mein ruyi(cotton) rakh kar gaye, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki tableeq aur  bayaan se bachne ke liye. Jab aap Ka’bah pahunche, Toh dekha ki Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) paas mein hi ibaadat kar rahe the. Apni  tafshees ke liye, aap ne faisla kiya ke woh Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki tilawath sunenge.
💭 “Main ek shayar hun, aur tajrubekaar kaan rakhne wala hun. Main pehchaan sakta hun ke Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) , jo kah rahe hai , sach hai ya jhooth. Agar unke baaten sahi aur achi hai , toh main woh maanlunga jo Aap kahte hai.”
🌹Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki tilawath sunkar hairaan ho gaye. Tufayl ne phir Aap ka peecha kiya aur ghar pahunchkar Aap ko Islam samjhane ke liye kaha.Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne inhe Islam samjhaya, tab hi Tufayl  ne Islam qubool kar liye. Phir unhone Aap se kaha ki, unke log Aap par yaqeen rakte hai aur Aap jo bhi kahenge , use woh log barabar sunenge, aur phir woh un sab ko Islam ki dawath denge.
🌹Tufayl ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko pucha ki , Aap aisi nishaani de ke log , pehchaan sake ki jo kuch Aap kah rahe hai , woh sab sachh hai. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne Allah ( swt) se dua ki ke , Woh unhe aisi koi nishaani ata kare, aur jab Tufayl , apne logon ke paas wapas gaye, unka chehra chamak raha tha. Unke log , Islam qubool karne ke liye tayaar nahi hue, lekin unke walid aur biwi ne khushi khushi Islam qubool kar liya.
🌹 Jab tak ke Tufayl ka Madinah hijrath karne ka waqt aaya, tabtak unke qabile ke sattar(70) se assi(80) gharane , Islam qubool kar chuke the, aur woh log sab , aapke saath Madinah ka safar tay kiya.
5⃣ Dhimad Azdi: ek honaar aalim( jaadu tona bhagane wale) , yeh  Yemen ke  Azd Shanwah qabile se the . Jab woh Makkah aaye the, toh inhone suna tha ke Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) pagal hai. Toh,  phir inhone Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas, elaaj karne ke eraade se pahunche.
🌹Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne unko jawab dete hue kaha: ” Saari taaref Allah(swt) ke liye hai. Hum Uski azmath bayaan karte hai aur Usise madad maangte hai. Jise Allah(swt) ne hidayath farmaayi, woh kabhie bhi gumraah nahi hoga, aur jise Allah (swt) ne gumraah kiya, woh kabhi bhi hidayath par nahi rahega. Main gawaahi deta hun ke , Allah(swt) ki siwa koi mabood nahi, aur main gawaahi deta hun ke , Muhammad , Uske bande aur uske Paigamber hai.”
🌹 Dhimad isse itne mutassir hue ki , woh theen baar is bayaan ko dhoraye aur kaha,” main ne jaadugaron, nujumiyon aur shayaron ke bayaan sune, lekin pahele kabhie bhi maine aisa kuch nahi suna.” Phir unhone Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko haath aage karne ko kaha, taake woh bhi shahadath le , aur Aap ki baith qubool kare.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
TO BE CONTINUED…………
END OF PART 68……

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s