SABAQ 76

🌸Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌸
🌸SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON NO :- 7⃣6⃣ 📚
🌸 SABAQ:-
🔻Madinah ke raaste ke darmiyaan
✨MADINAH KE RAASTE  KE DARMIYAAN ✨
🌸 Rabi’Al-Awwal ke mahine ki paheli raat , Abdullah bin Urayqat Laythi, raahgaar jise Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ne muntaqib kiya tha, unhe Yathrib tak le jaane ke liye, Pahade Thawr ke waadi aa pahunche , Abu Bakr(R.A) ke do unt lekar. Abu Bakr(R.A) ke gulaam, Amir bin Fuhayra, bhi unke saath the. Raahgaar pahele Yamen ki junubi raaste ki taraf nikle, aur phir yeh choti si jamaath ko lekar magreebi
smith, Bahira-e- Ahmar(Red Sea) ki taraf le nikle. Samundar ko pahunchne se pahele, woh Yathrib ki shumali smith ka raasta pakda, jahan se koi safar  bahuth kam hi   kiya karte the.
🌸Woh log sab puri raat aur dusre  aadhe din  tak safar kiya. Phir woh sab ruke, aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) kisi pathar ke niche araam kiya. Is beech , Abu Bakr(R.A) ko ek charwaha mila jo apni bhed ki ek bakri se inhe doodh diya. Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) uthe, toh Abu Bakr (R.A) ne Aap ko taaza doodh diya. Phir sab aage ke liye nikal pade.
🌸 Ho sakta hai ki, dusre din Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) aur Abu Bakr(R.A) , Umm Ma’bad ke kheeme se guzre, jo Qadid ke sarhad ke aaspaas, Mashaal ke khareeb ,Makkah se  lagbhag 130km ki duri par waqey hai. Aap logon ne unse pucha ki kya unke paas , chaar thake hue musafiron ke liye kuch hai. Unhone maafi maangte hue kaha ki, unki bakriyan saari kahin dur charne gayi hai, aur unke paas jo bakri hai , woh bahuth hi choti hai, aur apne bhedon ke saath nahi jaa sakti thi, aur uske paas ek khatra doodh  nahi hai dene ke liye.
🌸Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne izzat puchi ke kya woh us bakri se doodh le sakte hai, aur jab Aap doodh nikalne lage, us bakri ke than se doodh bahne laga. Aap ne ek khatora doodh se bhardiya aur pahele  Umm Ma’bad ko peene ke liye diya. Uske baad, ek ek musaafir ne pet bhar ke piya. Jab saare faarikh ho gaye, toh Aap ne ek khatora aur doodh bhara aur us aurat ke paas chod diya.
🌸 Jab Aap sab safar phir se jaari kiya, us ke baad, us aurat ka shohar ghar wapas aaya. Umm Ma’bad ne unhe saara khissa sunaya, aur unhone musafiron ke huliye saare bayaan kiye , jise sunkar shohar ne taskara kiya,
👉🏻”Woh shaks Quraysh se hai, jiske baare mein main sunta rehta hun.Agar mujhe maukha mila, main unke maanne walon mein shaamil ho jaunga.”
🌸Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke rawana hone ke theesre din subha, Makkah walon ne ek awaaz suni , jo unke har galli mein gunj uthi. Un he pata nahi chalraha tha, ki awaaz kahan se aari thi, kyun ki yeh awaaz kisi insaan ki nahi thi. Yeh jinni (ruh) tha jo kah raha tha:
👉🏻” Allah, logon ka Rab, un do saathiyon par meher ho, jo Umm Ma’bad ke kheeme ko pahunche. Hifazath mein, unhone safar roka tha, aur hifazath se woh safar phir jaari kiya. Jo koi Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) se dosti rakhega, woh kaamyaabi payega. O Quraysh! Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ko yahan se nikaal kar , tumlog ne azmath aur badshahath  ko khatam kiya! Banu Ka’b par meher ho! Unki aurat ka kheema, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke panah ka jagah bana. Apne auraton se pucho , kamzor bakri aur doodh dene wala khatore ke baare mein. Bakri bhi tumhe bata degi agar tum use puchoge toh.”
🌸Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) aur Aap ke Sahabi Qadid se nikal chuke, ek shaks jiska naam Suraqa bin Malik bin Ju’shum Madlaji tha, Aaplogon ko pehchana. Usne socha ki woh unhe giraftaar kar lega aur wapas Makkah lejayega, aur Inaam lega. Jaise hi woh apne ghode ko aage daudaya, ghoda achanak phisla aur woh zameen par gir gaya. Kyun ke woh andhvishwas tha, usne theer nikala , yeh dekhne ke liya ki kya woh  maukha aur halaath munasib hai ya nahi.
🌸Jo theer usne nikaali, woh munasib nahi thi, lekin, inaam ke lalach mein, usne is nishaani ko nazar andaaz kiya aur phur apne ghode par sawaar hua. Is baar ghode ne use mafroor ke bahuth hi khareeb le gaya, jahan woh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko Qur’an ki tilawath karte suna. Abu Bakr(R.A) pareshaan ho kar peeche dekne lage, lekin Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) befikr the. Is baar ghode ke pair , reth mein dhas gaye, aur phir ghudsawaar niche gir gaya.
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
TO BE CONTINUED……
END OF PART 76……….
.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s