🌷Assalamu alaikum Wa
Rahmatullahi Wa
Barakaatuhu 🌷
🌷SEERAH OF MUHAMMAD
( SalAllahu alaihi wa sallam)
🌷 LESSON NO:- 65 🌷
🌷SABAQ:-
🔻Raat ka safar(Israa) aur Mi’raaj ( continued)
✨RAAT KA SAFAR(ISRAA) AUR MI’RAAJ (CONT..) ✨
🌷 Rasool (SalAallahu alaihi wa sallam) ko phir jannath ke dusre darje par le jaya gaya. Jibra’eel(a s) ne darwaza kholne ko kaha, aur Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ne wahan par do bhaiyon(rishte ke) dekha, paigamber Yahya bin Zakariyah(alaihi salaam) aur paigamber Isa bin Maryam (alaihi salaam) . Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne unhe salaam kiya aur uske jawab mein unhone bhi salaam ka jawab diya, aur phir un dono bhi gawaahi di ke Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) , Allah(swt) ke bheje hue Rasool hai.
🌷 Jannath ke theesre darje par, Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ki mulaqaath Yousuf (alaihi salaam)se hui. Aap dono ke beech salaam hua. Yousuf(alaihi salaam) ne bhi gawaahi di ke Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) , Allah(swt) ke paigamber hai.
🌷 Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki mulaqaath Idrees(alaihi salaam) se Jannath ke chauthe(4) darje par hui. Dono ke beech salaam hua aur Idrees(alaihi salaam) ne gawaahi di ke Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) , Allah(swt) ke bheje hue paigamber hai.
🌷Jannath ke paanchwa(5) darja tha, jahan Aap ki mulaqaath Haroon( alaihi salaam) se hui. Jo , jaise ke pahele paigamberon ke beech salaam hua, Aap dono ke beech bhi salaam hua aur Haroon(alaihi salaam) ne bhi gawaahi di ke Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ,Allah(swt) ke paigamber hai.
🌷 Jannath ke chetwen(6) darje par , Musa(alaihi salaam) , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka intezaar kar rahe the. Salaam ke baad Musa(alaihi salaam) ne bhi gawaahi di ke Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) beshaque , Allah(swt) ke paigamber hai, aur Musa (alaihi salaam) rone lage. Jab aap se pucha gaya ki , woh kyun ro rahe hai, tab aap ne kaha:
👉” Mere ankhon se aansu isliye bah rahe hai ki, mere baad ek jawaan ko paigamberi ata ki gayi hai, lekin inko maanne wale , jannath mein mere maanne walon se zyada tadaad mein daakhil honge.”
🌷 Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam), jannath ke saathwen darje par pahunche, Aap ki mulaqaath Ibraheem(alaihi salaam) se hui, jo Bait Al-Ma’muur, aasmaani Ibaadatgah hai jahan par sattar hazaar(70, 000) alag alag farishtey har din tawaaf karte hai, ke paas araam farma rahe the. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) aur Ibraheem(alaihi salaam) , aapas mein ek dusre ko salaam kiya aur apne baap dada ka salaam bhi pahunchaya aur Ibraheem(alaihi salaam) ne bhi gawaahi di ke Muhammad( SalAllahu alaihi wa salkam) , Allah(swt) ke paigamber hai.
🌷 Is waqt par, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko phir Sidrat Al- Muntahaa, Jannath ka darakhth( paed) ki taraf le jaya gaya. Is darakhth ke pathe , haathi ke kaanon(ears) ke baraber the, aur iske phal chote tillya(ghade, pots) ke baraber the. Yeh sunhere parwanon(jugnu) se dhaka hua tha, iski khubsoorti lafzon mein bayaan nahi ki jaa sakti thi.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED…….
END OF PART 65……..