Assalamualaikum Wa Rahmatullahi wa Barakaatuhu 
SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
LESSON NO1⃣0⃣6⃣
SABAQ:-
🔸Ummul- Mominin Aisha (R.A) ke khilaaf geebat
UMMUL- MOMININ AISHA (R.A) KE KHILAAF GEEBAT 
Madina ka wapasi safar bahut lamba tha, aur safar ke dauran thodi der kahin rukne ke baad, ek din der raat, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) khamay ko thodna chahte the. Aisha (RadhiAllahu anha) ko ehsaas hua ke, aapka haar gum hogaya hai, aur aap usey doondne ke liye nikal pàde aur wapas laute toh dekha ki, wahan taynaad khamay, aapke ke bina hi aage bad gaye. Haalanke, unka khaali howdah (sawaari ),halka méhsus hua, lekin aadmi jo us sawaari ko le jaate the, mansub karliya ki who Aisha (RadhiAllahu anha ) hi hai.
Dusri taraf, aap, bina darey wahin par so gayi. Aap ne socha ke, beshaque jab unlog ko aapki gair maujdgi ka pata chalega, toh woh unhe wapas lene zarur aayenge. Aap tab tak soti rahi, jab tak ke Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam ) ke Sahabiyon mein se ek, Safwan bin Mu’attal Salami ne aapko na dekha. Safwan, jo hamesha gheri neend lete aur der tak soya karte the, unhe yeh kaam sonpa gaya ki, who peechey rukenge, aur agar fouj ka kuch samaan peechey reh gaya ho toh, usey samet kar le aayenge.
Unka kaam tha ki, jo nishaaniyon badte fouj ne chodi hai, aap uski pairwee karte hue, unmein shaamil ho jaaye. Jab aap nazdeek pahunchey, aap Aishah (R.A) ko pehchaan liya, jisey aap ne us waqt dekha tha, jab hijaab ka hukum nahi diya gaya tha. Aap ne unhe salaam karte hue kaha, “Hum Allah (swt ) ke hai, aur hamein Usi ki taraf lautna hai!”, aur yeh itna hi kalaam tha, jo aap ne Aishah (R.A)se kaha. Aishah (R.A) ne fouran apna chehrah dhak liya. Khamoshi se, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) ki zoujah ke adab se, Safwan ne unhe sawaar karne ke liye apna oonth laya.
Aap, onnth ki rassi(lagaam ) ko pakdey, aur aage ki aur chalne lage, aur is tarah un dono ne safar kiya. Dopaher ka waqt ho chuka tha, jab aap log apne logon mein ja kar shaamil hue, jo kuch hi der paheley apna padav daaley the. Safwan ko Aishah (R.A)ke oonth ko laate hue dekh, Abdullah bin Ubayy ka bad khawah dil mein galath khayalaath umad rahe the .
Akhirkaar, yeh ek sahi waqt tha, jab woh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) ke dil ko takleef de sake aur Aap ke chaheti zoujah ki izzath ko neecha gira sake. Woh ek jhooth shuru kiya, ke kaise Aishah (R.A) aur Safwan jaanbuuj kar saath mein peechey rah gaye.
Jaanbuuj kar saazish karke, nafrath aur hasad bhari jhooth ko buna gaya aur rang bhara gaya, tab tak ke woh sacchayi ke rang mein pesh hona shuru na hua ho. Abdullah aur uske saathiyon ne hashas kar yeh jhooth dohrane (baar baar kehne)lage, sirf apne hi logon mein nahin, balki aam Muslim mehfilon mein bhi, jo apne aankhon par jhooth ki mandraati hui dhool se andhey ho chukey the. Dusri taraf Aishah (R.A). Madinah lautne ke baad, sakth bemaar hui aur ek mahine tak bistar par hi rahi.
Haalanke, saare Madinah mein aapki aur Safwan ki khufiya mulaqath ki jhoothi afwaah aur mazaaq mein ranga hua jhooth bhinbhina raha tha,aap ko iski jaankari bilkul nahi thi, ke bahar kya ho raha tha. Aapko sirf yehi takleef khaye jaarahi thi, ke kyun aapke shauhar , Apni aam mizaaz se hat kar, unse doori aur khamoshi ekhtiyaar kar rakhe hain. Kahan gayi woh narmiyath jo hamesha Aap inke saath rakte the? Kyun Aap, unki tabiyath ki haalchaal puch kar, fouran rawana ho jaate , bina aapke baaju baitey? Salaam ke baad Aapke paas, kehne ke liye kuch bhi kyun nahi hai?
Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam)khud bhi takleef mehsuus kar rahe the, ki samaaj bhi ek jhooth par yaqeen kar raha hai. Aapke biwiyan, badnaami se door honi chahiye, lekin jab ke, jaane anjaane mein Aishah (R.A) saazish ke shikaar ho chukey the, ab Aap khud hi ko, kuch karna hoga, apne gharbaar ko aur khaas kar apne jamaath ko, aur zyadah nuksaan se bacha sake. Aapko, aur zyadah takleef ho rahi thi, is baath ki ke, is beech ya is waqt ke dauraan Aapko koi bhi wahi naazil nahi ho rahi thi. Aapne, apne Sahabiyon se baat cheeth ki, ke kaise Aap, is halaath se pesh aaye aur saamna karey, jo Aapke gharbaar ko aur saare Madinah ko asar kar raha hai. Ali (R.A) ne halke se alag hone ki mashawaraa ki, lekin Usama aur dusron ne dusra mashawraa karne lage, iskey badle mein.
In sab se mashawaraa karne ke bad, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) member par jakar muqateeb hue aur elaan kiya ke, ke yeh toh logon par hi hai ki woh, yeh kaise durust karte hai,jo kuch shaytaan ne kiya hai, jo Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke gharbaar ko bhi chu liya hai. Aapke yeh alfaaz Aus qabile ke sardar ke dil ko lage, aur unhone yeh afwaah phailaane ke liye, Abdullah bin Ubayy ko maut ki saza ka farmaan sunaya. Kyun ke, Abdullah bin Ubayy ka talluq Khazraj qabile se tha, unke sardar ne yeh farmaan ko saare qabile ki tauheen samjha.
Zyadah naitefaaqi aur bura barataaw tabtak phail raha tha, jabtak ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) khud is masle ko durust karne beech mein na aaye. Tab tak Aishah (R.A) khudbhi apni bimaari se durust ho chuki thi, aur ek raat baitulkhala ko nikle, Umm Mistah ko saath liye hue. Ghere andhere ki wajeh se, Umm Mistah apne chadar par phisalgayi aur phir apne beta ko lanath bhejne lagi. Aishah (R.A) ne unke lanath ki ekhtelaaf ki aur unhe danta, lekin woh mohtrama Aishah se kehne lagi ke woh uspar lanath bhejne mein galath nahi hai. Is ke bawjuud ke, kya who (beta ) bhi Aishah (R.A) ke khilaaf jhoothi afwaah phailaane mein shaamil nahi hai?
“Kya jhooth?” Aishah(R.A) ne Puc ha. Saari kahani bahar aane lagi, aur Aap khamoshi se sun rahi thi. Jab aap wapas lauti, aapne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) se apne maikey (apne ma baap ke paas ) jaane ki izzazat puchi. Jaise hi woh apne maikey pahunchi, unke maa-baap ne bade hi dukh ke saath haami bhari ki Madinah mein Aishah aur Safwan ke baarey mein afwaahayein gunj rahi hai. Aapke aansu nahi ruk rahe the. Do raatein aur ek din guzar gaya aur aap ro hi ja rahi thi, aur unke maa baap bhi unhe dekh kar roye jaa rahe the.
END OF LESSON: NO:106…..
NEXT LESSON TO BE CONTINUED.
Sharing Islamic posts will get you Sawab e Jaria. So share it now via
Like this:
Like Loading...
Related