Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam )
LESSON NO: 1⃣0⃣7⃣
SABAQ:-
🔸 Ummul-Mominin Aishah (R.A) ke khilaaf geebat. (Continued)
UMMUL-MOMININ AISHAH(R.A) KE KHILAAF GEEBAT
(Continued )
Dusri raat guzarne ke baad, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ), Aishah (R.A) se milne ke liye aaye. Apne hi jazbaat ke jadhojahath mein ghere hue, Islami jamaath ke ruhaani rehnuma aur ek shohar ke munasib haisiyath se Aap ne kaha:
🏻”Aishah! Main is maamle ke baarey mein aur aapke ke baarey mein daryafth karne ke liye aaya hun. Allah (swt), aapki masumiyath ko roshni mein zarur le aayenge. Agar aapne kuch gunah kiya ho, toh Taubah karo aur Allah (swt) se maafi talab karo , kyun ki Woh taubah karne walon ko bakhsh (maaf kar) deta hai.”
‘ Aishah (R.A) bina aansu bhaaye Aap ki baat suna. Unhone Apne maa-baap ko apni taraf se jawab dene ko kaha, lekin woh bhi gam mein dubey aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam )ke ehtraam mein khamosh rahe. Phir Aishah (R.A) ne gunjthi hui awaaz mein kaha:
🏻”Allah (swt) ki kasam, mujhe pata hai ki jhooth ko baar baar, dhohra kar itna kaha gaya ki, who Aapke dil mein ghar kar gayi sur aap log, usey sacch maan baitey. Agar main ab kahungi ke main bekhasur hun-aur Allah (swt) khoob jaanta hai ki main bekhasur hun –aap is sacch ko qubool nahi karoge. Agar kisi tarah main qubool karun ke main bekhasur hun—aur Allah (swt ) behether jaanta hai ke main bilkul bekhasur hun—aap is sacch ko qubool karenge. Isliye, main, mere liye aur Aap ke liye, wahi kahungi jo Yusuf ke waalid ne kaha tha:-
“…Sabr bahuth khubsoorat hai. Main Allah (swt )ki madad maangti hun uske khilaaf jo Aap log zor karte ho.”
(12:18)
Yeh sab baatein kahkar, aap , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) ki taraf se apna rukh peechey kiya aur lait gayi. Usi waqt par, Allah (swt) ne, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko wahi naazil farmaayi . Jab wahi ka silsila mukammal hua, toh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) muskuraney lage. Aap ne kaha,
🏻 “Aye Aishah! Allah (swt ) ne aapko bekhasur kharar kiya! “
🏻”Uthiye aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki taraf chehra kijiye,” Aishah (R.A) ke walidayen ne apni beti se kaha.
Aishah (R.A) ne jawab diya, “Allah (swt ) ki kasam! Main Aap ki taraf chehra nahi karungi. Main sirf Allah (swt) ki hamd (tareef) karungi. ” Woh ayaah jo is maukhey par Aishah (R.A) ke mutaliq , unka booj halka karne ke liye naazil hui hai, woh, Surah Al-Noor, (ayaah 11-20) mein paayi jaati hai. Is ayaah mein saaf saaf farmaya gaya hai ki , woh log jo kisi paak daman aurat(jiska gunah sirf gaflath thi) par tohmath lagate aur jhooth kehte hai, woh gunhegaar hai aur woh bhi gunhegaar hai jo isey dohraatey hai aur yaqeen karte hai.
Yeh ayaah khususi taur par geebat karne walon ko, afwaah phailane walon ko azaab ki khabar deti hai aur har Muslim ko apni auraton ki izzat ki hifazath karne ki taufeeq aur hukum e amal bayaan karti hai. Yeh Imaan ka ek hissa muqarar kiya hai ke shaque na karey aur afwaah aur jhooth par yaqeen karne se inkaar karey aur usey phailney na de. Bebuniyaad geebat aur afwaah ko dohrana, apne aap ko aur samaaj ko napaak karne ke baraber hai, ek dusrey mein naitefaaqi lata hai aur imaanwali auraton ko nuksaan pahunchata hai, aur diye gaye ayaah mein Allah (swt ) ne geebatkaron ke liye bahuth hi sakth saza ka elaan kiya hai:
“Toh tumhara pardah khol deta, beshaque ! woh ke yeh bada imtihaan laaye hai, woh tumhi mein ki ek jamaath hai. Isey apne liye bura na samjho, balki woh tumhare liye behether hai. In mein har shaks ke liye woh gunah hai jo isney kamaya hai, aur in mein woh jisney sab se bada hissa liya, iskey liye bada azaab hai. Jab imaanwalon ne yeh afwaah suna tha, kyun kar woh apne logon par nek gumaan kiya hota, aur kehtey yeh khula imtihaan(jhooth ) hai ? Kyun kar woh chaar gawah na laaye, kyun ke woh gawah pesh na kar paaye, woh Allah (swt ) ke nazdeek khud jhoothe hai. Aur agar Allah(swt) ka fazal aur Uski rehmath tum par duniya aur akhirath mein na hoti, toh jis charchey mein tum padhey, is par tumhe bada azaab pahunchtha. Jab tum aisi baat apni zubanon par ek dusrey se sunkar laatey they aur apne muh se nikaaltey they, jiska tumhe ilm nahi aur isey sahi aur chota samjthey they , woh Allah (swt) ke nazdeek badi baat hai. Aur jab tumne yeh geebat aur jhooth suna tha, tumne kyun kar na kaha ‘hum is par baat yaqeen na karerenge. Allah (swt) ki paaki hai tujpar. Yeh bada imtihaan tha. Aur Allah (swt) tumhe nasihath farmaatey hai ki ab kabhie aisa na kehna, agar imaan rahktey ho. Aur Allah (swt ) tumhare liye ayaah saaf bayaan farmaatey hai aur Allah (swt ) bada hi ilm aur hikmath wala hai. “
(24: 11-18)
Aap ka dil gam se mutmayeen ho gaya, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) apne Sahabiyon ke paas pahunchey aur unke saamne yeh ayaah ki tilawath ki, jo Ayesha (R.A) ki masumiyath bayaan karti hai. Is ayaah mein khudrati hukum takmeel (izzazath ) hone ki wajeh se, Aap afwaah phailane walon mein se do(2) mard aur ek aurat jo Muslalmanon mein se the , unhe assi (80) kodey maarne ka hukum diya, jo jhooth ko baar baar dohranae ka kaam kiya.
Hassan bin Thabit, .Mistah bin Athatha aur Hamnah bint Jahsh, jo duniya mein saza qubool kar chukey,.woh Akhirath ki saza se bach gaye aur maaf kar diye gaye . Lekin Abdullah bin Ubayy, jo jhoothon ka sardaar tha, aur uske saathi ,galthi nahi qubool kiya aur maafi bhi nahi talab ki . Aur yeh log Akhirath mein khatarnaak azaab paane wale hai.
END OF LESSON 107……..
NEXT LESSON TO BE CONTINUED
Sharing Islamic posts will get you Sawab e Jaria. So share it now via
Like this:
Like Loading...
Related