SABAQ 60

🌷Assalamu alaikum Wa 
Rahmatullahi wa Barakaatuhu 🌷
🌷SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
🌷  LESSON NO: 60 🌷
🌷 SABAQ:-
🔻 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ka Taa’if ka safar.
✨RASOOL (SalAllahu alaihi wa sallam ) KA TAA’IF KA SAFAR  ✨
🌷 Jald hi Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne mehsus kiya ki ab waqt aa chuka hai ki Islam ka paigaam unhe apne padosi qabilon tak pahunchana hai. Aap Taa’if ka safar  paidal hi tay kar liya, jo Makkah se kuch thees mile duri par mashreek par waqeh hai. Aap yeh safar apne purane gulaam , Zayd bin Haarith ( R.A) ke saath tay kiya.
🌷 Taa’if ka raaste tay karne ke darmiyaan mein , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam)
ne jitne bhi qabile beech mein Aap se miltey gaye, unhe Islam qubool karne ki dawaath pesh ki. Akhirkaar, Aap Taa’if pahunche aur theen bhaiyon se mulaqaath ki, theeno saare jo Thaqif qabile ke sardaar the. Aap ne inhe Islam ki daawath di aur unse apna paigaam phailane mein madad puchi, lekin woh Aap ko dushmani aur inkaar se jawab diya.
🌷 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam)  ne in sardaaron ki choda aur  Islam ke baare mein baat karne ke liye, dusre logon ko dekne lage. Uske kuch din tak , Aap apni khoj jaari rakhe taake unhe aisa koi mile jiska dil Allah ( swt) ki baaton par ruju ho, magar wahan kisi ko dilchaspi nahi thi. Ek sardaar , jisse Aapki mulaqaath hui,  woh jaahel aur gair dostana saabith hua, jab Aap ne apni muhim ko samjhaya aur madad ke liye guzarish ki.
🌷 Islam ki daawath qubool karne ke bajay, woh Aap ko Taa’if  chodne ke liye kaha, aur jahan se aaye wahan lautne ke liye kaha. Woh log Aap par unke bachhon ko, gulaam aur apne bhediyon ko chod diya. Jaise Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) shaher ke bahar nikalne ka raasta tay kiya, ek shararthi jamaath Aap ke peeche bhaagi, Aap ko  tabtak gaaliyan dete hue aur patharen maarte hue, jabtak ke Aap ke pair mein se khoon bhana  shuru ho gaya.
🌷 Zayd( R.A) ne , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko, unlogon ke maaron se bachaane ki bahuth koshish ki, aisa karte karte aapko bhi sir par kayi  zakhm sahna pada. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) aur Zayd( R.A) , wahan se bach nikle aur wahan se theen mile ki duri par ek baagh mein panah li, woh baagh jo Rab’ia ke bete Utbah aur Sheba ka tha.
🌷 Wahan Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , ek dewaar ki saye mein baite , jo angoor ki bel se dhaka hua tha, aur Allah(swt) ki awaaz se ibaadat karne lage aur Du’aa Al Mustad’afeen( Mazloom ki dua) karne lage:
🙌 Aye Allah(swt)! Tujhe main logon ke saamne meri kamzori aur beizzati ki shikayat karta hun. Tu bada Meherbaan hai, tu kamzor aur  mazloomon ka Rab hai aur mera bhi Rab hai. Tune mujhe kiske hawale kiya? Unke jo meri parwah nahi karte? Ya tune mere dushmon ko mera  mamelaath ka maalik muqarar kiya? Jab tak Tu mujhse gussa nahi hai, main parwah nahi karta.Tera Rahem mujhe kaafi hai. Main teri Roshni ke saaye mein panah maangta hun, jisse saara andhera dur ho jaata hai, aur duniya aur uske baad ka har maamla theek ho jaata hai, Tera gussa aur Teri naraazgi mujpar na aane de.
Main teri raza aur tera itminaan ka muntazir hun. Tere siwa koi taqat aur koi himmat nahi. “
🌷 Rabi’a ke  beton ke dil hil gaye jab unhone dekha ki Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) unke baagh mein panah liye hai, aur is manzar ko ke thaka hara musaafir aur uske saamne itna lamba raasta dekhar afsos karne lage , aur apne gulaam Addas ko Aap ke paas kuch angoor je gucche dekar bheja. Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ne angoor liye, aur sirf Bismillah (Allah(swt) ke naam se)  kahne ke baad hi angoor khana shuru kiya. Addas tajjub karne laga ki Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne khane se pahle Allah (swt) ka naam lekar khana shuru kiya.
🌷 “Is elaakhe ke aas paas ke log kabhie bhi aisa jumla nahi kaha hai,” usne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se kaha. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne Addas se pucha,:
👉“Tum kahan se ho, aur tumhara deen kya hai?”
👉 “Main ek Isaayi hun aur main Ninevah se talluk  rakta hun.” Addas ne jawab diya.
👉“Kya tum us gaaon se ho jahan nek shaks , Yuunus bin Mati rahte hai?” Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne pucha.
👉” Aap unhe kaise jaante ho?” Addas ne pucha.
👉“Woh mere bhai hai,” Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne jawab diya. “Woh Paigamber the aur main bhi hun.”
🌷Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne phir kuch Qur’an ke kuch ayaah ki tilaawath ki jo Paigamber Yuunus ( ‘alaihi salaam) ke baare mein the. Addas , itna mutassir ho gaya ki woh Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki Islam ki daawath ko qubool kar liya.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED..….

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s