Assalamualaikum Wa Rahamatullahi Wa Barakaatuhu…….
Ab hamne ek naya safar ilm haasil karne ka shuru kiya hai EK AYAH EK DIN MEIN aur main guzarish karti hu aap sab se ki , aap apne deen ko seekne main wahi dilchaspi aur khushgawari rakhenge jo hamesha rakte hai
Allah(swt) hum se aur aap sab se isey qubool farmaye.
Ameen
SURAH AL-FALAQ 
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم 
INTRODUCTION AND ROMAN ENGLISH TRANSLATION 
INTRODUCTION:-
Surah Al-Falaq (maa’nae : Fajr/ Subah sawaerae) Qur’an ka 113 Surah hae. Yeh paanch(5) ayat ki muqta’sar dua hae. Allah(swt) se Shaytaan mardood ki buraayi se hifazath ke li’yae dua hae.
ROMAN ENGLISH TRANSLATION
۱﴿ قُلۡ اَعُوۡذُ بِرَبِّ الۡفَلَقِۙ
Ayat 1). Kaho ke maen subah ke parwardigaar ki pa’naah maangta hun.
۲﴿ مِنۡ شَرِّ مَا خَلَقَۙ
Ayat 2). Har cheez ki badi(buraayi) se jo iss’nae paidaa kee.
۳﴿ وَمِنۡ شَرِّ غَاسِقٍ اِذَا وَقَبَۙ
Ayat 3) Aor andheri raat ke buraayi se jab iss kaa andheraa chaa jaa’yae.
۴﴿ وَمِنۡ شَرِّ النَّفّٰثٰتِ فِىۡ الۡعُقَدِۙ
Ayat 4). Aor gandon par padh padh kar phoonk’nae waal’on ki buraayi se.
۵﴿ وَمِنۡ شَرِّ حَاسِدٍ اِذَا حَسَدَ.
Ayat 5). Aor hasad kar’nae waal’on ki buraayi se jab woh hasad kar’nae la’gae.
Tafseer to be continued ……….