LESSON 1

                                     sparklesSURAH FALAQsparkles

                                                   tulip newبِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمtulip new

 

sparklesTAFSEERsparkles

PART:- 1

PINBimaari , waba, jaadu, aor an-dekhee balaa’on se bachaa’aw ki dua:-

ORANGE Hazrath Jabar (Radhiallahu anhu) farmaa’tae hae falaq keh’tae hae subah ko . Hazrath Kaab Ahbaar ( Radhiallahu anhu ) farmaa’tae hae ‘qalaq’ jahannum hae. Ek jagah hae ,jab iskaa( jahannum) ka darwaa’za khul’taa hae toh uss’kee aag ,garmee aor sakhthee ki wajeh se tamaam jahannumi jhoonch’nae lag’tae hae.

ORANGE Tamaam maqlooq ki buraayi se jis’mein jahannum bhee daakhil hae aor iblees aor iblees ki aulaad bhee shaamil haeORANGE غَاسِقٍ se murad “raat” hae. إِذَا وَقَبَ se murad “suraj ka guroob” ho jaa’na hae, yaa’nae raat jab andhera li’yae hu’ae aa jaa’yae.

ORANGE Masnad Ahmad ki yeh hadith hae ,jis’mein hae ke RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Hazrath Ayesha ( Radhiallahu anha) ka haath thaa’mae hu’wae chand kj taraf ishaa’ra kar’kae farmaa’yaa Allah(Subhaa’nawataa’aalaa) se is غَاسِقٍ (raat ke andhe’rae) ki buraayi se pa’naah maangein.

ORANGE Hadith shareef mein hae ke Hazrath Jib’raaeel (alaihi salaam) , RasoolAllah ( SalAllahu alaihi wa sallam) se puch’aa,” Kya Aap bimaar ho?” Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaa’yaa, “Haan”. Toh Hazrath Jib’raaeel (alaihi salaam) ne yeh dua padhee,
الله أرقيك ,من كلّ شيء يؤذيك ,من شر كلّ نفس أو عين حاسد ,الله يشفيك, بسم الله أرقيك )
Yaa’nae ( Allah(Subhaa’nawataa’aalaa) ke naam se maen dum karta hun har uss bimaari se jo tum’hae dukh pahunchaa’yae aor hasad ki buraayi aor badee se Allah tum’hae shifa dein. )

backhand-index-pointing-right_1f449Yahan uss bimaari se muraad shayad woh bimaari se hae jabkae Aap par jaadu kiyaa gayaa tha ,phir Allah(Subhaa’nawataa’aalaa) ne aapko afiath aor shifa bakshee aor hasadi yahudiyon ke jaadu ko radd kar diyaa aor inn’kae tadbeeron ko be’asar kardiyaa . Is’kae bawjuud , RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kabhie ap’nae oopar jaadu kar’nae waalon ko daanta tak nahee. Allah (Subhaa’nawa taa’aalaa) ne aapki kifaayath kee aor Aapko afiath aor shifa at’aa kee.

ORANGE Masnad Ahmad mein hae ke RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) par ek yahudi ne jaadu kiyaa, jis’sae kayee din tak Aap bimaar rahae, phir Jib’raaeel (alaihi salaam) ne aakar Aapko bataaya ke falan yahudi ne Aap par jaadu kiya hae aor falan falan kun’ae (well/ bowlee) mein gherae laga rakha hae. . Aap kisi ko bhejkar us’sae nikalwaa liji’yae. RasoolAllah ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne aadmi bheja aor uss kun’ae (Bowli) se woh jaadu nikalwakar ghee’rein khol dee , jaadu ka saara asar jaata raha,phir na toh Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) uss yahudi se kabhie iska zikr kiyaa.

tulip newtulip newtulip newtulip newtulip newtulip newtulip newtulip new
Next part of Tafseer to be continued……….

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s