SURAH AL-FALAQ
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
Hazrath Sufiyaan (Radhiallahu anhu) farmaa’tae hae ki yehi sab se bada jaadu ka asar hae, jab yeh halath Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ki ho gayee.
Ek din Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaa’nae la’gae, ” Ayesha! Maen ne ap’nae Rabb se puch’aa aor mere parwardigaar ne bataaya diyaa, do shaks aa’yae , ek mere sarhaa’nae, ek merae paa’on (legs) ki taraf. Sarhaa’nae waa’lae ne uss dus’rae se puchaa, Inn’ka kyaa haal hae? Dus’rae ne kaha inn par jaadu kiyaa gayaa hae. Uss’nae puch’aa, kisnae jaadu kiyaa hae? Pahe’laey waa’laa shaks ne kaha Abid bin Aseem ne jo yahudi ka haleef hae aor munafeeq shaks hae. Kaha , kis cheez mein jaadu kiyaa? Kaha, Tar kha’jur key darakth ki chaal mein , pathar ki chat’taan talae aor inn’kae kun’ae (Bowli) mein.
Phir RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) kun’ae ke paas aayae aor iss’ mein se woh nikalwaaya, uska paani aisaa thaa goya mehendi ka gadlaa paani, uss ke paas ke Kha’juron ke darakth Shaytaan ke ser(head) jaisey thae.
Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaa’yaa, “Alhamdullilah ! Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa) ne muj’hae shifa de dee aor maen logon mei buraayi phailaa’na pasand nahee kartaa.
Yeh bhee zikr hae ki , Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ki aisee (bimaar halath) cheh(6) mahi’nae tak rahee. Ibn Abbas (Radhiallahu anhu) aor dusrae Sahaba se riwaa’yat hae ke, yahudi ka ek bacchaa Nabi-e-Kareem (SalAllahu alaihi wa sallam) ki qid’math kiyaa kartaa thaa, us’sae Yahudiyon ne beh’kaa kar , Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ke chand baal aor Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ki kangee ke chand danda’nae mangwaa li’yae aor inn mein jaadu kiyaa. Uss mein zyadatar koshish karnae waa’la Abed bin Aseem thaa. Aor phir woh jaadu kun’ae (Bowli) mein daal diyaa, bas RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) bimaar ho ga’yae, ser ke baal jhad’nae lagae, khayal aata thaa ke maen auraton ke paas ho aaya , haal’ankae aa’tae na thae. goya Aap (SalAllahu alaihi wa sallam ) se dur kar’nae ki koshish mein thae, lekin wajeh malum na thee. Cheh(6) mahi’nae tak yehee haal rahaa, phir woh waqiah hu’waa jo oopar bayaan kiyaa gayaa ke farishton ke zariye Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ko tamaam haal ka ilm ho gayaa aor Aap (SalAllahu alaihi wa sallam), Hazrath Ali (Radhiallahu anhu) ko Hazrath Zubair (Radhiallahu anhu ) ko, aor Hazrath Ammar bin Yasar (Radhiallahu anhu) ko kun’ae (bowlee) ke paas bhejkar woh sab cheezein nikalwaayein . Ismein ek taa’nath thee jis’mein baarah(12) gherein lagee hu’ee thee aor har gheraa par ek su’ee(needle) chupee huee thee. Phir Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa)ne yeh dono suratein naazil ki. (Surah An-naas aor Surah Al-Falaq)
RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) ek ek ayat inn surah ki padh’tae jaa’tae aor ek ek gheraa iskee khud ba khud khultee jaati thee. Jab yeh dono suratein puree huee , sab ghaeraein khul gayee aor Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) bilkul shifayaan ho gaye.
Udhar Jib’raaeel (alaihi salaam) ne woh dua padhee jo oopar guzar bayaan ki gayee har. Logon ne kahaa ,”RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam, hamein izazath dijiye ke hum iss khabees(yahudi) ko pakadkar qatl kardein. Aap (SalAllahu alaihi wa sallam, ) ne farmaa’yaa ,” nahee, Khuda ne muj’hae tandrusthee de di hae aor maen logon mein fasaad phailaa’na nahee chah’taa.
Dua:- Aye Allah(swt)! Shaytaan ke waswason se, burayee se, hasadon ke hasad se, badkaari se hamari hifazath farmaa. Gandae padkar phuk’nae walon se hamari hifazath farmaa . Hamars Imaan aor hamara taqwaa mazbooth farmaa.
Ameen.
End of Surah Al-Falaq tafseer. Alhamdullilah
In sha Allah, will continue Tafseer of Surah Al-Ikhlas.