Assalamualaikum Wa Rahamatullahi Wa Barakaatuhu…….
Ab hamne ek naya safar ilm haasil karne ka shuru kiya hai EK AYAH EK DIN MEIN aur main guzarish karti hu aap sab se ki , aap apne deen ko seekne main wahi dilchaspi aur khushgawari rakhenge jo hamesha rakte hai
Allah(swt) hum se aur aap sab se isey qubool farmaye.
Ameen
SURAH AL-MASAD 
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم 
INTRODUCTION:
MAA’NAEY:- Al – Masad ke maa’naey hae:
Batee hu’ee dhaari’yaan(Rassi) ya Kha’jur ke Raeshen.
Yeh Qur’an ka 111 wa Surah hae. Aor iss’mein 5 ayat hae.
Zamaana-e-Nuzul:
Yeh makkayee surah hae jo RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) ke hijrath se pahae’laey naazil hu’ee.
Ayat 1 mein Abu Lahab ke naam se RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam)ke ek mukhaleef ka zikr hae, jo Aap (SalAllahu alaihi wa sallam)ke chacha thaa.
Iss Surah ka naam “Masad” ayat number 5 se li’yaa gaya hae, jis’mein
حَبۡلٌ مِّنۡ مَّسَدٍ
jiss ka matlab hae “kha’jur ke raeshon kee ek ras’see”
Iss’mein kha’jur ke raeshon ka tazkeerah miltaa hae ,Jahan’num kee aag se. Woh aag jo RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) ke chacha Abu Laha’b ki biwi ke ga’laey(neck) mein mu’daeh (twist/ batee) hu’ee hogee.
Abu Laha’b ki biwi ne bahuth hee sakthee se Islam kee aor RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) kee muqaali’fath kee hae.
Abu Laha’b ki biwi gair maa’moolee haar (necklace) pa’haennae mein bahuth faqa’r (gha’mand) meh’soos kartee thee aor uss haar (necklace) kee waje’h se woh mash’hur ho gayee thee.
RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) ko zakhmee kar’nae ke li’yae raas’tae par kaant’ae daar jhaadi’yaan daal daetee thee.
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم 
ROMAN ENGLISH TRANSLATION:- (Ayat number: 1 to 5)
تَبَّتۡ يَدَاۤ اَبِىۡ لَهَبٍ وَّتَبَّؕ ١
(Abu Laha’b ke haath too’tae aor woh halaaq ho)
مَاۤ اَغۡنٰى عَنۡهُ مَالُهٗ وَمَا كَسَبَؕ ٢
(Na toh iss ka maal hee iss’kae kuch kaam aa’yaegaa aor na woh jo uss’nae kamaa’yaa.
سَيَصۡلٰى نَارًا ذَاتَ لَهَبٍۚ ۖ ٣
(Woh jald bhadak’tee hu’ee aag mein daakhil ho’gaa)
وَّامۡرَاَتُهٗؕ حَمَّالَةَ الۡحَطَبِۚ ٤
(Aor uss’kee biwi bhee jo een’dhan(aag) sar par utah’yae phir’tee hae.
فِىۡ جِيۡدِهَا حَبۡلٌ مِّنۡ مَّسَدٍ ٥
(Iss’kae ga’laey mein batee hu’ee ras’see hogee.
Tafseer to be continue………………..In sha Allah.