Sabaq 10

SABAQ (LESSON) No:10
Hajre Aswad (Kaale path’thar) ko uss kee jagah par rakhne par jhagdaa
Jab Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) 35 saal ki umar ke the, tab ek tabaah-kun aur zabardast toofan se Ka’baa ko nuksaan huva. Iss se pahle aag lagne ki wajah se Ka’aba kee deewaren kamzor ho chuki theen, aur ab toofan ki wajaah se uss mein mazeed daraaren par gaeen. Quraysh (ke loag) jo iss dhanche (Ka’aba) kaa bahot ehitraam karte the – ta’ameer-
e-na’o (dobaaraa banna na) karne kaa iraadaa kiyaa. Unn logon ne ye faislaa kiyaa ke woh loag Ka’aba kee ta’ameer ke liye sood, jism faroshi yaa chori se haasil ki’ye huvee aamdani (wassa’el) iste’maal naheen karenge.
Kyoon ke Ka’aba ko dobaaraa bana’ne ke liye uski deewaron ko neeche giraanaa thaa, toh Qurayash ke logon ko yeh dar thaa agar unhon ne iss muqaddis ghar ko giraane ke liye apne haath uth’tha’e to kaheen Allah (Subhana watala) unhen iss amal kee sazaa na den.
Sab se pahle Waleed bin Mugheera ye kahte hue aage berhe ke “ Allah (Subhana watala) kabhi islaah karne waalon ko sazaa naheen deta” Ka’abaa kee deewaaren tornaa shuru’ keen. Jab aur logon ne dekhaa ke unn par ko’ee Ilaahee ghazab naheen aa’yaa toh sab log iss kaam mein shaamil ho ga’ye.
Unn logon ne Ka’aba ko uss kee asal buniyaadon tak masmaar kar (giraa ) diyaa, jo Ibraheem (alaihi salaam) ne rakhee theen. Ka’aba ki ta’meer shuru’ hu’ee aur har qabile ko makhsoos kaam sonpaa gayaa. Azmat waale (ameer) log path’thar chun chun kar laa’te aur ek jagah par jama’a kar rahe the. Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) aur unke chachaa Abbas
(RadiAllahu ‘anhu) path’thar uthaane ke kaam mein shaamil the. Ek Romanian mistry jiskaa naam Baqoom thaa, uss ne dewaaren ta’meer keen. magar qabile ke log Ka’aba ke ta’meer mukammil naheen kar paa’e kiyoon ke wog loag poore paise jama’a karne mein naa kaam rahe, toh ek choti deewar banaayi ga’yee jo hazrat Ibrahem (Alaihes Salaam) kee banaa’ee hoo’ee qadeem buniyaad kee hadood kee nishaan-dahee kartee thee. Yeh choti deewaar 6 haath (yaa gaz) door tak Ka’aba kee shumaali taraf hae, aur usse Hijr Isma’eel kahaa jaa’taa hae.
Jab dewaar Al Hajr Al-Aswad (Black stone) tak mukammil hu’eei to ek jhagraa (tana’azaa) shuru’ ho gayaa. Har qabeele kaa sardaar uss izzat ka da’awedaar thaa jo Al Hajr Al-Aswad (Black stone) ko uss kee jagah par rakhne se mil saktee hae.
Yeh jhagraa (buhraan) 4 yaa 5 dinn tak chalaa aur aisaa lag rahaa thaa ke khoon kharabaa hone kee naubat aane waalee hae. Us waqt wahan ke sab se buzurg shakhs Abu Umayya ne ek hal sochaa. Unhon ne kahaa ke aglaa aadmi jo Ka’aba kei zarwaaze (gate) mein daakhil ho gaa, usse iss jhagre khatam karne kaa ikhtiyaar diyaa jaa’egaa. Har koi unki iss tajweez
(mashware) par raazi ho gayaa. Aur yeh Allah (Subhana watala) kee marzee (Will) thee ke aglaa shakhs jo darwaaze (gate) mein daakhil huvaa woh Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) thaa. “Yeh Muhammad hai” woh sab pukaar uth’the jaise hee unhon ne Aap ko aa’te hu’e dekhaa. “Kyun ke woh bahot hee pur aet’maad (bharose ke qabil” haen, hum sab ne kahaa
ke hum unn ke faisle kee paabandee karen’ge”
Jab Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ko jhagre kee tafsil ma’loom hu’eei, toh Aap ne ek chaadar laane ko kahaa. Aap ne Al Hajr Al-Aswad (Black stone) ko uth’thaaya aur usse chaadar par rakh diyaa. Phir unhon ne har qabile ko ek ek konaa pakarne ko kahaa aur sabko ek saath uthaane usse uth’thaane kee hidaayat dee. Jab Al Hajr Al-Aswad (Black stone)
ko saare sardaaron ne oopar uthaaya, tab Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ne khud apne mubaarak haathon se usse apnee jaghe par rakh’khaa (jamaa’yaa). Har koi Aap ke iss faisle se khush thaa aur iss tarah ek baraa mas’alaa hal ho (tal) gaya.
Al Hajr Al-Aswad (Black stone), zameen se derh (1.5) meter oopar rakhaa huva hae, aur Ka’aba kaa darwaaza Al Hajr Al- Aswad (Black stone) se aadha (0.5) meter oopar hai. Quraysh ne darwaaze ko neeche naheen kiyaa kyun ke woh naheen chahte the ke ko’ee bhee Ka’aba mein unki ijaazat ke baghair daakhil ho. Unhon ne dewaaron kee unchaayee bhee 9 cubits
(haath yaa gaz) se dugnee kar ke 18 cubits (haath yaa gaz) kar dee, aur (unn deewaaron par) ek ch’chat (roof) bhee daal dee jiss kee unchaayee 15 cubits (haath yaa gaz)
End of Lesson:10

One thought on “Sabaq 10

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s