Sabaq 16

SEERAH(BIOGRAPHY) OF PROPHET MUAHAMMAD(PBUH)
LESSON:16 {IN ROMAN ENGLISH

  • SABAQ:-Pahele Momin( contnd..)

PAHELE MOMIN
( CONTINUED)
Khadeejah ( Radhi Allahu Anha) , pahele insaan the jo apne shohar per bharosa kiya jise Allah( subhana wataála) ne apne Paigamber aur Rasool muqarar kiya. Aap ki biwi ke lihaas se, unhe sab se zyada pata tha ki Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) Koi aam shaksiyath nahi the; Aap ke jaisa ooncha kirdaar aur azeem ikhlaqiat ; Aap ko wahan ke logon mein se alag alheda kartha tha.
Khadeeja ( Radhi Allahu Anha) ne Allah( swt) ke aakhiri Paigamber jo aane wale hai unke ke baaren mein suna aur baat bhi kiya tha.
Khadeeja(Radhi Allahu Anha ) ne Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ke ajeeb aur karamati hadson ke baare mein bhi jo dusron ne dekha tha suna tha. Iske alawa bhi , woh Waraqa se sun chuki thi ke jo Farishta Gaar – e -Hira mein naazil hue the woh koi aur nahi balki Jibra’eel( alaihi salaam) the jo Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ko Allah(Subhana watala) ki taraf se wahi naazil farmayi.

Akhiri mein, Khadeejah ( Radhi Allahu Anha) us waqt maujud thi jab Surah Al Muddaththir naazil hui. Yeh tho bahuth zahir si baat thi ke woh paheli insaan thi jisne Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) par yaqeeda laya ki Aap Allah(subhana wataála) ke bheje hue akhiri Paigamber hai.
Abu Bakr ( Radhi Allahu Anha) bhi un shaksyathon mein se hai jo pahele Musalmaan hue. Jab Surah Ak-Muddaththir ki ayaten naazil hui, tab Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) Abu Bakr( Radhi Allahu Anhu)ke yahan pahunche, jo Makkah ke azeem aur tareen taajir aur apne hi muqaam ke ek bade hi mumtaz shaksiyath the. Aap ne unhe jakar sab kuch sunaya jo Aap par guzar chuka. Abu Bakr(R.A) Aap se do saal umr mein chote the, lekin woh apne dost ke kirdaar aur shohrath ko baa khubi jaante the . Woh jaante the ki Aapki Muashere mein sacchayi aur imandari ke liye kitni
izzatafzayi hoti thi.
Abu Bakr(Radhi Allahu Anhu) , ko Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ke akhiri Paigamber hone ke hukum pe koi shak nahi tha. Aur woh Islam ki dawaat qubul karne se inkaar nahi kiya..Aap Islam qubul kiya, aur pahele Muslim hue.
Aliy bin Abu Talub ( Radhi Allahu Anhu) bache hi the jav Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ka muhim shuru hua, aur kuch sources se zahir hota hai ki Aap sirf 10 baras ke the jab aapne Islam qubul kiya.

Aliy ( Radhi Allahu Anhu) , Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ke sarparasthi mein hi the kyun ki inke walid Abu TalibRadhi Allahu Anhu) apne pure bacchon ki zimmedari nahi utha pa
rahe the. Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallan) aap ke dusre walid ki tarah the, aur bina koi shak ke unhe ye aqeeda tha ke unke sarparasth ek Rasool hai, aur Aap sach hi ke raah par hai.
Islaam qubul karne walon mein se pahele Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ke azaad kiye hue shaks, Zayad bin Haarith bin Sharahbeel Kalbi (Radhi Allahu Anhu) bhi the.Islam ke daur se pahele gulaam ki tarah beche hue , Zayd ne Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ko chodkar jaane se inkaar kardiya jab ke unke rishtedaar unhe azaad kharidne ke liye tayaar the.

Chand din tak unhe Zayd bin Muhammad bhi pukaarte the , baad mein goodh( adopted) liye hue bachon ko palak maa baap ka naam dene se mana kiya gaya aur apne haqeeqi maa baap ke naam se pukarna wajib tha tab inhe inke pure naam jo upar diya gaya hai , usi naam se jana gaya.Lekin naam badal dene ke bawjood Zayd ki mohabbat Rasool(SalAllahu alaihi wa sallsm) se bahuth gheri thi. Aur dono ka rishta bahuth mazbooth aur payedaar tha.

TO BE CONTINUED…..
END OF PART 16

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s