SABAQ (LESSON) No: 9
Mauzu’aat: 1) Khadeejah (RadiAllahu ‘anha) ke liye karobari safar Syria ka 2) Khadeejah se shaadi
KHADEEJAH (RadiAllahu ‘anha) KE LIYE KAAROBBARI SAFAR
25 saal keei umar mein Aap (Sallallahu Alaihi wasallam) Khadeejah (RadiAllahu ‘anha)
ke liyei saudagar ke taur par Syria
ga’e. Ibn Ishaq ne bataaya ke Khadeejah (RadiAllahu ‘anha) Quraish ke ek a’alaa (umdaa) khaandaan (gharaane) ke
shakhs, Khwailid kee beti, aur ek bahot baa izzat aur ameer kaarobaari khaatoon theen.
Woh apne kaarobar ke silsile mein (mukhtalif) aadmiyon kee khidmaat haasil kartee theen. Aur ek martabba aesa huva ke
Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) unn (Khadeejah RadiAllahu ‘anha) ke mulaazim (ghulaam) Maysarah hue ke saath
Syria ke safar (kaarobaar) ke liye nikle. Woh safar bahot hee kaamyaab (faed-e-mand rahaa, aur Makkah mein waapis aane
ke ba’ad unhon (Muhammad SalAllshu alaihi wa sallam) ne Khadeejah (RadiAllahu ‘anha) ko unka munaf’aa unn ke
hawaale kiyaa.
KHADEEJAH (RadiAllahu ‘anha) SE SHAADI
Khadeejah (RadiAllahu ‘anha) do baar bewaa ho chuki then; Aap ki pehli shaadi Ateeq bin Ayed se, aur phir doosree shaadi
Abu Hala se huvee thee. Abu Hala se Aap ko ek betaa hua. Doosre shaohar ke inteqaal ke ba’ad, Aap ke liye bahot saare
Quraysh sardaron ke rishte ke paighaam aa’ye, lekin aap ne unn sab ko inkaar kar diyaa. Lekin abb, woh Maysarah se
Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ke kirdaar kee ta’areef sunn kar itnee mutassir hueen ke unhon ne apnee dost
Nafeesah ke zariye Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ko shaadi ka paighaam bhejaa. Muhammad (SalAllahu alaihi
wa sallam) ko yeh baat dil se lagee, to aap ne apne chachaa’on se mashwaraah kiyaa, un logon ne Amr bin Asad, jo
Khadeejah (R.A) ke mama (yaa chachaa) the, rishte ki liye paighaam bhejaa. Amr ne apni bhanji (yaa bhateejee) kee taraf
(janeb) se rishtaa qabul kiyaa.aur Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ne bees (20) oounth meher mein diye (kuch
tafseelen (zaraa’e) se yeh bhee sunnaa gayaa ha eke Aap ne ch’che (6) oounth di’ye) .
Banu Hashim aur Quraysh ke sardaaron ki maojudgi mein Aap donoo ka nikhag huvaa. Allah (Subhana watala) ki ta’areef
aur tamjeed (tasbeeh) karte huve Abu Talib ne nikah kaa khutbaa parhaa aur iss rishte ko rasmee taur se pakkaa kar di’yaa.
Is tarah Syria ke safar se waapsi ke do mahine aur kuch dinnon ke ba’ad Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) aur
Khadeeja (RadiAllahu ‘anha) ki shaadi ho ga’yee. Woh uss waqt 40 saal ki theen aur unhen wahaan ke a’alaa tareen, ameer
aur hikmat wale khandaanon mein se sab se ziyaada ach’chaa maanaa jaataa thaa. auraton mein se behtreen thi.
Khadeejah(R.A) ,Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ki pahelu biwi the. Khadeejah (RadiAllahu ‘anha) Aap (Muhammad
SalAllshu alaihi wa sallam) kee pehlee biwi theen, Jabb tak woh zindaa raheen, Aap ne dusri shaadi naheen ki.
Woh Aap ke saare bachhon ki walidaa theen, siwaa’e Ibraheem ke, jo Mariya Qibtiya se paida hue the. Unke naam
(paidaa’yesh ke hisaab se) Qasim, Zaynab, Ruqayyah, Umm Kulthoom, Fatima, Abdullah, aur Ibraheem the. Aap ke sabhi
bete aur betiyaan bachpan mein hee inteqaal kar ga’ye siwaaye Fatima (RadiAllahu ‘anha) ke.. Fatima (RadiAllahu ‘anha)
kee wafaah Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ke inteqaal ke ch’che (6) mahine ke ba’ad hovee thee..Aap kee sab betiyon ne
Islam kaa mushaa’hedaa kiyaa (dekha), Islam qabul kiyaa, aur Madina ko hijrat bhee kee..
End of Lesson:9
From last to 10th line i want to know is this umme kulsum?
LikeLike