Sabaq 17

SEERAH(BIOGRAPHY) OF PROPHET MUAHAMMAD(PBUH)

LESSON:17 {IN ROMAN ENGLISH}

 

  •  SABAQ:- Pahele momin (cont..)

 

Naye Mominon ki zindagi mein bahuth tabdilen aayi,jo apne khaandan aur dost sahaba ko apne mazhabi riwazon ko tabdil karne ki taakeed dene ki chahath rakhe.Abu Bakr( Radhi Allahu Anhu), apni baat cheet se dusron ko shirk chodne ki takeed dene lage aur Allah(subhana wataála) ke bheje hue Paigamber, Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) ke bataye hue raah ko amal karne ko kaha.

Abu Bakr( Radhi Allahu Anhu) bahuth hi mashur taajir the, jo apni sakhawath aur hoshiyaari ke liye jane jaate the Arab ki nasabi hukmeran mein se umda the. Aap ki shohrath aur kirdaar logon ko apni taraf kheench laati thi, aur aap agar yakheen rakhte ki falan aadmi imaandari se sacchi ko dundhraha hai ya samaj sakta hai, tho aap us shaks se baat karte aur apne naye imaan ki baat batate.Bahuth saare log aap ki Islaam ki baat mein dilchaspi bataye aur aap ke saath Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas gaye.

Jo log Musalmaan bane woh is tarah the: Uthmaan bin Affan Umwi ( Radhi Allahu Anhu) ,Zubayr bin Awwam Asadi( Radhi Allahu Anhu) ,Abdul Rahman bin Auf Zuhri ( Radhi Allahu Anhu), Sa’d bin Abi Waqqas Zuhri( Radhi Allahu Anhu) aur Talha bin Uvaydullah Taymi( Radhi Allahu Anhu) Quraysh mein se bahuth saare log Muslims bane:- Abu Ubaydah, Amir bin Jarrah; Abu Salamah bin Abdul Asad aur unki biwi , Umm Salamah; Arqam bin Abil-Arqam; Uthman bin Madh’un aur unke bhai ( brothers) ; Qadam bin Madh’un aur Abdullah bin Madh’un; Ubaydah bin Harith bin Muttalib bin Abdu Munaf; Sa’eed bin Zayd bin Amr bin Nafil aur unki biwi ( Umar ki bahen) ; Fatimah bint Kgattab; Kgabbab bin Aratt; Ja’far bin Abi Talib aur unki biwi , Asmaa bint Umays; Khalid bin Sa’eed bin As aur unki biwi, Amina bint Khalaf; unke bhai, Amr bin Sa’eed bin As; Hatib bin Harith aur unki biwi; Fatimah bint Mujalil, unke bgai , Khattab bin Harith, unki biwi; Fakiha bint Yasir aur unke dusre bhai, Muammar bin Harith; Muttalib bin Azhar aur unki biwi, Ramla bint Abi Auf; aur Na’im bin Abdullah bin Naham. Bahuth momin , dusre qabilon se aage bade aur Islam qubul kiya: Abdullah bin Mas’ood Hadhli; Mas’ood bin Rabi’a Qari; Abdullah bin Jahsh aur unke bgai, Abu Ahad bin Jahsh; Suhayb bin Sinan Rumi; Ammar bin Yasir Ansi aur unke maa baap, Yasir aur Sumayya aur Amir bin Fuhayrah. Umm Ayman Barakah, jo Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ke walid ki Abyssinian gulaam thi, aur Rasool( SalAllahu alaihi wa sallan) ko bachpan mein dekhbhaal kiya, woh bhi Islam qubul kiya; jaise ki Ummul Fadal Lababtul Kubra bint Harith Hilalya, aur Asmaa bint Abu Bakr Sideeq ne kiya tha. Yeh aur inke jaise log jo Islam ke shuraath mein hi Muslim ho gaye inhe “Pahele Momin” kaha jata hai. Ulma inki tadaad 130 batate hai, magar aap sab ki Islam qubul karne ki haqeeqi waqt aur tareeq ka andaza nahi kar sakte.Aisi Fairlist mein woh Sahaba bhi the jo tab Islam qubul kiya jab Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) khule aam logon ko Islam ka paigaam pahunchate the.

TO BE CONTINUED…… END OF PART 17

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s