Archives

Lesson : 10 (i) AR-RABB, SARDAAR KE MAANEY (ii)AL-‘ALAMIN KE MAANEY

“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷

In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.

💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu

 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚 LESSON NO :- 10 📚
(SURAH AL-FATIHAH)

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ

💫AR-RABB, SARDAAR KE MAANEY 💫

) ﴿الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِين
َ
🔸Ar-Rabb , woh maalik hai , jiska ikhtiyaar(haq) Uski tamaam milkiyath par hota hai. Ar-Rabb ka lisaniat ka zabandani ( zabaani) maana hai, maalik ya woh qiyadat karne (sarparasti) karne ka iktiyaar rakta ho. Ar-Rabb ke yeh saare maaney, Allah (swt) ke liye sahi hai. Jab woh akela hota hai, lafz Rabb , usey sirf Allah (swt) ke liye hi istemaal kiya jaata hai. Allah(swt) ke alawa kisi aur ke liye , isey Rabb Ad-Dar kehkar istemaal kiya ja sakta hai, jiske maaney hai falan, falan cheez ka maalik. Aur , yeh bhi batla diya gaya hai ki Ar-Rabb’ , Allah (swt) ka sabse bada naam hai.

AL-‘ALAMIN KE MAANEY💫

🔸Alam ‘ ka jama Al-‘Alamin hai, jo apne daayre mein sabkuch shaamil karta hai jo kaynaath mein maujuud hai siwaya Allah(swt) ke. Lafz, ‘Alam’ hi khud ek jama alfaaz hai, jiska koi wahid(singular) shakl nahi hai. ‘Alamin woh maqlukhaath hai jo zameen aur aasmaan , duniya, jannath , zameen aur samundar mein maujuud hai. Har nasal ki maqlukhaath ko ‘Alam kehte hai. ﴿ ِ (رَبِّ الْعَـلَمِي)( ‘Alamin ka sardaar ya maalik). Har kism ki taqleeq (ejaad) ‘Alam hai. ” ‘Alam mein har woh cheez shaamil ho jaati hai, jise Allah ne banaya hai, is duniya mein aur Akhirath mein.

🔸Al-Qurtubi tabsira kiya ke, ” Yeh sahi maana (matlab) hai , ke ‘Alam mein woh saari cheezein shaamil hai, jo Allah(swt) ne dono duniya mein (paida kiya hai ya )ejaad kiya hai. Usi tarah Allah(swt) farmaate hai, ( Fir’awn(Pharoah) ne kaha: ” Aur ‘Alamin’ (saare jahan)ka Maalik kya hai?” Musa (alaihi salaam) ne kaha: ” Rabb aasmanon aur zameen ka aur jo kuch inke darmiyaan mein hai, agar tumhe yaqeen ho.” (26: 23)

💫KYUN TAQLEEQ ( KAYNAATH) KO ‘ALAM KAHA GAYA 💫

🔸Lafz ‘Alam’ , Alamah se liya gaya hai , yeh isliye ki, yeh sabith karta hai us nishaani ka ke maujuud hai Iska Khaliq (bananewala) aur Uska Ek hona. ”

﴿الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ ﴾ (
3). Ar-Rahman ( bada Meherbaan) , Ar-Raheem ( bada hi Rahmatwala)

🔸Al-Qurtubi kehte hai, “Allah(swt) ne apne Aapko bayaan karte hai issey, ‘Ar-Rahman, Ar-Raheem, ‘ ‘Alamin ka Rab’ kehne ke baad. toh Allah(swt) ka bayaan yahan , shaamil karta hai aaghaa(warning) aur phir housal hafzai shaamil karta hai. Allah (swt) farmaate hai: “Aye Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaao ke” Beshaque! Main hi hun bakashnewala, meherbaan aur mera hi azaab dard naak hai.” ( 15: 49-50)

َ🔸 Allah (swt) farmaate hai, ( Beshaque! Tumhare Rabb ko azaab karte der nahi lagti, aur beshaque Woh zarur bakashnewala aur bada hi meherbaan hai.(6:165)

🔸Isliye, Rabb mein aagha(dar) maujuud hai jab ke Ar-Rahman Ar-Raheem housla deta hai.

👉🏻Aur aage, Muslim ne apne Sahih mein darj kiya hai ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaate hai, (” Agar ek imaanwala shaks jaan le ki Allah(swt) ke paas saza kya hai, koi yeh umeed nahi karta ke woh Jannath haasil karey, aur agar koi mushreek , jaan le ki Allah (swt) ki Rahmat kya hai, toh koi bhi Uska raham kamane ki umeed mein , apne ache amal kamane ki umeed nahi chodta.

(Allah behether jaanta hai.)
💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON 10………

And Allah Knows Best

✨💞✨💞✨💞✨💞✨

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.

 

 

Lesson :9 (i) AL FATIHA KE FAZAAIL (ii)AL-HAMD KE MAANEY (iii) TAREEF AUR SHUKR KE BEECH KA FARQ (iv)SALAF KA BAYAN AL-HAMD KE SILSILE MEIN

 

AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷

In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.

💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu

 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚LESSON NO: 9⃣📚

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ

💫AL FATIHA KE FAZAAIL💫

) ﴿الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِين
َ(Sab tarah ki tareef Khuda hi ko (sazawaar/ layaaq) hai, jo tamaam maqluqaath ka parwardigaar hai. )

💫AL-HAMD KE MAANEY💫

الحمد لله👉🏻
(Al-Hamdu lillah) (tamaam tareef aur Shukr Allah(swt) ke liye hai) ke maaney hai: sara shukr sirf aur sirf wahed Allah (swt) ke liye hai, nahi kisi cheez ki jo Uskey badle mein puji jaati hai, naahi Uski koi cheez jo Usney Kaynaath mein banayi hai. Yeh shukr wahed Allah(swt) ke liye hai, jisne anginath(behisaab) nematein ata ki hai, jo sirf aur sirf Wahi jaanta hai. Allah(swt) ki nematein mein woh cheezein bhi shaamil hai, jo maqluqaath ki madad karte hai Uski ibadat karne mein, jismani shaklein ata ki, jiski wajeh se, woh Rab Ke hukum ko baja laa sakte hai, rizzaq jo Usne ata ki hai , unki zindagi mein, aur araam zindagi , jo Usney sab ko ata ki hai, bina kuch aur bina kisi ke dabaav mein. Allah(swt) ne apni maqluqaath ko agaah bhi kiya hai, un zariye aur tareekhe se , jissey woh apne akhirath ka saman juta sake aur apni jagah Jannat mein tay kar sake. Tamaam tareefein aur shukr sirf Allah(swt) ke liye hai, shuru se akhir tak humko nematein ata karne ke liye.

👉🏻 Aur bhi الحمدلله
( Al-Hamdu Lillah), ka yeh matlab bhi hota hai, ” Woh tareef jo Allah(swt) , apni Khud ki tareef mein kehta hai, apne bandon ko yeh ishara karte hue ki , woh bhi Uski tareef (hamd) karey, jaise ke Allah(swt) ne kaha hai, ‘ Kaho: tamaam tareef aur shukr sirf Allah(swt) ke liye hai.’ Yeh kaha jata hai ki, yeh bayaan , ( Tamaam tareef aur shukr sirf Allah (swt) ke liye hai) , hamein kaas baat ka etela karta hai ki, Allah(.swt) ki tareef , uske behtreen sifat, Asma -Ul -Husna ke saath ki jaani chahiye. Jab koi bayaan deta hai,” tamaam shukr sirf Allah (swt) ke liye hai,” woh Uska shukr ada kar raha hai, Uskey meherbaaniyan , rehmatein aur nematon ke liye. ”

💫TAREEF AUR SHUKR KE BEECH KA FARQ 💫

🔻Hamd bahuth hi aam hai, is mein hum bayaan dete hai kisi ke kirdaaron ki tareef , ya jo Usney kiya hai. Shukr hum uska karte hai jo kar chuka hai. , na hi sirf kirdaaron ke liye.

💫SALAF KA BAYAN AL-HAMD KE SILSILE MEIN💫

Hafs ne yeh bayaan kiya ki ‘ Umar (R.A.) ne Ali (R.A( se kaha , ” Hamein pata hai La ilaha illallah, SubhanAllah aur Allahu Akbar . Al-Hamdu Lillah ke baarein mein kya? ” Ali (R.A) ne kaha, ” Ek bayaan woh jo Allah(swt) khud Apneliye pasand karta hai, woh jo Apne aap ko , Apne se khush karta hai aur Woh isey baar baar dohrana pasand karta hai.” Ibn Abbas (R.A) ne bhi kaha, ” Al-Hamdu Lillah, tareef ka bayaan hai. Jab banda kehta Al-Hamdu Lillah tab Allah (swt) kehte hai ‘Mera banda Meri tareef kiya hai.” Ibn Abi Hatim ne yeh Hadith mein darj kiya hai.

💫AL-HAMD KI SIFATH 💫

Ibn Majah ne darj kiya ki Anas bin Malik (R.A) ne kaha ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) ne farmaya,

( Koi banda , Allah (swt) ki fazilath (karam/rehmath) haasil nahi karega aur kahega,’Al-Hamdu Lillah’ siwaya ke jo usey diya gaya woh behether hai, ussey jo usney khud haasil kiya ho.)

🔻HAMD SE PAHELE AL, SHAAMIL KARTA HAI HAR TARAH KA SHUKR AUR TAREEF , ALLAH(SWT) KE LIYE. 🔻

👉🏻Alfaaz Alif aur Laam , Hamd se pahele , shaamil jar leta hai , har tarah ka shukr aur tareef , Allah(swt) ke liye, jo Buland darja rakhta hai.

📚Ek Hadith mein bayaan hai,
, «اللَّهُمَّ لَكَ الْحَمْدُ كُلُّهُ، وَلَكَ الْمُلْكُ كُلُّهُ، وَبِيَدِكَ الْخَيْرُ كُلُّهُ، وَإِلَيْكَ يُرْجَعُ الْأَمْرُ كُلُّهُ»

(Oh Allah! Saare Al-Hamd tere hi liye hai, Tu hi Maalik hai , har tarah ki bhalayi Tere Haath mein hai aur all maamle Tere hi supurd hai.)

Allah behether jaanta hai.
💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON 9……..

And Allah Knows Best

✨💞✨💞✨💞✨💞✨

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.

 

 

lesson:15 SAKHAWATH / NEMATEIN SAARE ALLAH(SWT) KI WAJEH SE HAI , TAJAAWUZ (FARQ)NAHI

AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷

In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.

💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu

 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚 LESSON NO:- 1⃣5⃣📚
(SURAH AL-FATIHAH)

 

🔸SAKHAWATH / NEMATEIN SAARE ALLAH(SWT) KI WAJEH SE HAI , TAJAAWUZ (FARQ)NAHI 🔸

📖Allah(swt) farmaate hai,
– صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ ﴾)
(Raasta unka jin par tune ahsaan kiya)Jab Usne Apne ahsaan bayaan kiye. Gussey ko bayan karte hue , Allah (swt) farmaate hai, (ْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ )(Na unka jin par gazab hua aur na gumraahon ka), bina mazboon bayaan karte hue, haalanke ,yeh toh khud Wahi (Allah(swt) hai Jo unpar gussey ka azaab naazil karta hai, jaise ke Allah(swt) , dusri ayah mein farmaate hai, (” Aye Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam! Kya tumne un munafiqeenon ko nahi dekha jisne unlogon ko apna dost banaya , jin par Allah (swt) ne azaab naazil kiya( yaane Yahudi)” (58:14)

🔸Aur, Allah(swt) , gumraahi ka talluq unlogon se karta hai , jo is tarah karte hai, haalanke unhe haqi taur se gumraah kardiya gaya, unki Allah(swt) ki taraf se muqarar taqdeer ke mutabiq

📖. Misaal ki taur par, Allah (swt) farmaate hai, (” Woh jise Allah(swt) hidayath ata karte hai, woh sahi hidayath wala hai; lekin woh jispar Woh azaab naazil karta hai, usko koi Wali (hidayath karnewala dost) nahi milta , usey sacchaayi ke raaste par le jaane ke liye.”) (18:17) aur,

📖 (Har koi jis par Allah(swt) , gumraahi naazil kardeta hai, koi uski hidayath nahi kar sakte; aur Woh unhe apne gunaahon mein andha bankar gumne deta hai. “) (7: 186)

🔸Yeh aur dusre kayi Ayah sabith karte hai is sacchayi ka ki Allah(swt) wahed hai , jo hidayath aur gumraahi ata karta hai.

📚Ek sahi Hadith bayaan karti hai ( Jab tum unko dekte ho jo , uspar amal karte hai , jiska zikr Qur’an mein saaf saaf bayaan nahi kiya gaya, toh woh yeh log hai jiska zikr Allah(swt) ne kiya( refer to 3:7) . Isliye in se dur raho.)

🔸 Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , Allah(swt) ke is bayaan ka zikr kar rahe the, (” Woh dusre woh hai jinke dilon mein kunji( farq) hai (sacch ke raaste se) ; woh ishtebah wali ke peechey padte hai gumraahi chahne(budhparasathi aur nakaamyaabi ko) aur is ka pehlu dundne ko.”)(3:7)

🔸Beshaque, deen mein koi bidaiati(biddat karnewala) , Qur’an ki haqiqi sacchaayi ya saboothon par yaqeedah nahi rakta, ke uski biddat saabith karey. Qur’an , sacch aur jhooth mein farq samjhathi hai, aur hidayath aur gumraahi mein bhi. Qur’an mein koi akhtalafath ya tardeed(inkaar) maujuud nahi hai, kyun ki yeh Hakeem , Rahmaan aur sab tareefon wala Allah(swt) ne naazil farmaya.

🔰AMIN KAHNA

👉🏻Yeh sifarish ki gayi hai ki Amin kahe, Surah Al-Fatihah ke tilwaath ke baad. Amin ka matlab, “Aye Allah! Hamari fariyaad sunle.” Amin kahne ki sifarish ka sabooth, Imam Ahmad, Abu Dawud aur Al-Tirmidhi mein darj hai, jo Wa-il bin Hujr ne kaha,” Maine Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) ko tilawath karte hue suna tha, (Na unka jin par azaab hua aur ba gumraahon ka)aur Aap ne kaha , ‘Amin ‘ aage apne awaaz mein kahte hue.”

🔸’Amin’ kahne ko zayadatar unlogon ko kaha gaya hai , jo ibadaat nahi kar rahe hai( jab Al-Fatihah ki tilawath ki ja rahi hai) aur bahuth sakthi se kaha gaya /Sifarish ki gayi hai , unlogon ki bhi jo ibadat kar rahe hai, chahe woh akele ho ta phir Imam ke peechey jamaath mein. Do Sahih Hadith mein darj kiya gaya hai ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaate hai,( Jab Imam kahe , ‘Amin’ tab ‘Amin’ kaho, kyun ki jo bhi shaks ‘Amin’ farishton ke saath kahega uske peechley gunah maaf kar diye jayenge.)

🔸Yeh kaha gaya hai ki Hadith dono Farishton aur Muslims ki baat kahte hai, ‘Amin’ ek saath, ek hi waqt par kahne ke liye. Hadith yeh bhi bayaan karta hai ki jab Farishtey aur Muslims ‘Amin’ bade hi imaandari se kahte hai( toh bas, Maafi haasil kar lete hai)

🔸Aur, Sahih Muslim mein yeh darj kiya gaya hai, ki Abu Musa , Rasool (SalAllahu alaihi wa salkam) ke talluq se kahte hai ki Aap farmaate hai,( Jab Imam kahe, Walad-Dallin’ toh Kaho ‘Amin’ aur Allah (swt) apke duon aur hajathon ka jawab deta hai.)
💞💞💞💞💞💞💞💞💞

SURAH AL-FATIHAH KI TAFSEER MUKAMMAL HO GAYI.

💞💞💞💞💞💞💞💞💞
(ALLAH BEHETHER JAANTA HAI.)

 

And Allah Knows Best

✨💞✨💞✨💞✨💞✨

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.

Lesson :7 SURAH AL-FATIHAH KI PEHLI AYAH ‘BISMILLAH’ HAI

AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷

In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.

💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu 💝

 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚LESSON NO :- 7⃣ 📚

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ

💫SURAH AL-FATIHAH KI PEHLI AYAH ‘BISMILLAH’ HAI 💫

👉🏻 Sahabiyon ne Allah(swt) ki Kitab ‘Bismillah’ se shuruath ki hai.

{بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ}

(1.Allah(swt) ke naam se, jo bada hi Meherbaan aur bada hi Rehmatwala hai )

🔻Yeh ray ke Bismillah , har Surah ki Ayah hai, siwaye Al-Bara’ah (Baap 9) , Sahabiyon ki di hui sifath hai.

🔻Sahih Al-Bukhari mein darj kiya gaya hai ki, Anas bin Malik(R.A) se pucha gaya Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke tilawath ke silsile mein. Unhone ne farmaya, “Aap ki tilawath jaldi mein nahi hoti thi.” Phir aap , uska misaal dete aur tilawath karte, jabke Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim ki tilawath bahuth lambi karte.

🔻Yeh darj kiya gaya hai ki, Umm Salamah (R.A) ne farmaya,” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , apni tilawath ke waqt , har Ayah ko alag alag karte.

🔻Aur bhi, Do(2) Sahih bhi darj kiya hai ki Anas bin Malik(R.A) ne kaha, “Main , Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) , Abu Bakr(R.A) , Umar(R.A) aur Uthman (R.A) ke peechey , Namaz ada kar raha tha, aur woh sab apni Namaz is sey shuru kiya karte hai,
) ﴿الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِين}
[Tamaam tareef aur shukr Allah(swt) ke liye, jo Rabb hai saare maqluqaat ka. ]

🔻Muslim aur izafa karte hue kehte hai, ” Aur woh log ne iska zikr nahi kiya,
(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ)
[Allah(swt) ke naam se, jo bada hi Meherbaan, aur bada hi Rehmatwala hai ]chahe shuru mein ya phir tilawath ke aakhir mein . Yeh baat ka irada ya ray, imaam par mushtahab hai, aur unke bayaan ek jaise hai is baat par raazi hone ke ki Namaz ke dauran Al-Fatihah ki tilawath awaaz se ya phir khamoshi mein sahi hai. Sab meherbaani Allah(swt) ki taraf se hai.

💫HAR KAAM SE PAHELE BASMALAH KARNE KI(SIFARISH) TAJVEED KI GAYI HAI.💫

🔻 Har kaam ko shuru karne se pahele , Basmalah (Bismillah tilawath karna) karne ki sifarish(Tajveed) ki gayi hai. Misaal ki taur par, Khutbah shuru karne se pahele Basmalah ki tajveed ki gayi hai. Basmalah us waqt bhi tajveed ki gayi hai , jab koi us jagah daakhil hota hai , jahan woh sukoon haasil karna chahta hai. Iska zikr Hadith mein bhi hai. Aur, Wudhu ke shuru mein bhi Basmalah ki tajveed ki gayi hai. Khane se pahele bhi ki gayi hai, jiska zikr Muslim ne apne Sahih mein darj kiya hai ki, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Umar bin Abi Salamah (R.A) se kaha, jab woh Aap ke parvarish mein bacchey they , ( Bismillah kaho, apne seedhe haath se khaao aur aap ke aaspaas maujuud cheezeon mein se khaao). Bahuth saare ulema kehte hai ki , khaane se pahele Basmalah fardh hai.

🔻Hum bistari se pahele bhi Basamalah ko tajveed kiya hai. Do Sahihyon ne darj kiya ki Ibn Abbas(R.A) ne kaha ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaate hai,
بِسْمِ اللهِ اللَهُمَّ جَنِّبْنَا الشَّيْطَانَ وَجَنِّبِ الشَّيْطَانَ مَا رَزَقْتَنَا،فَإنَّهُ إِنْ يُقَدَّرْ بَيْنَهُمَا وَلَدٌ لَمْ يَضُرَّهُ الشَّيْطَانُ أَبَدً

( Agar aap mein se koi apni ahaliyah(zoujha/biwi) ke saath humbistari se pahele kahega, “Allah(swt) ke naam se. Aye Allah(swt) ! Hamein shaytaan se hifazat farma, aur uski hifazat farmaa , jo aap hamein ata karenge, ( yaane aap ki aanewali aulaad) , aur agar tab inki kismat mein aulad hona naseeb farmaya, toh Shaytaan , us bacchey ko koi nuksaan nahi pahuncha sakta. ”

Aur Allah(swt) behether jaanta hai.

💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON NO: 7

TO BE CONTINUED……..

َ

And Allah Knows Best

✨💞✨💞✨💞✨💞✨

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.

Lesson : 6 KYUN IBLIS KO SHAYTAAN KEHTE HAI

AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷

In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.

💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu 💝

 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚LESSON NO:- 6⃣📚

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ

🔻KYUN IBLIS KO SHAYTAAN KEHTE HAI🔻⤵

♻ Arabi zaban mein , Shaytan lafz, Shatana se nikala gaya, jiska matlab hai, dur ki cheez. Isliye , Shaytan ki fitrath , insaani fitrath se alag hai, aur uske gunha ke tareeqe har tarah ki acchaayion se bahuth dur hai.

♻.Yeh bhi kaha gaya hai ki Shaytan ka lafz , Shata ( lafzi maane: jaladiya) se liya gaya hai kyun ki isey aag se banaya gaya.

♻ Kuch ulema kehte hai ki dono bhi maane sahi hai, haalanke woh kehte hai ki pahela maana bahuth mumkeen hai.

📝 Arabs kehte hai, ‘ falan , falan ke paas Tashaytan hai’ jab woh iblis ke tarah harkatein karne lagta hai. Agar Shaytan lafz Shata se liya gaya ho toh, woh kehte the Tashayyata (baigair Tashaytan kehne ke) ”

♻Isliye, Shaytan lafz , us alfaaz se liya gaya hai, jiska matlab hai , dur ki cheez. Is wajeh se , woh kehte hai ‘Shaytan” usey jo bhi baaghi(shararathi) hai , Jinn aur Insaanon mein.

📖Allah(swt) farmatae hai, (” Aur is tarah hum ne Nabiyon ke dushman kiye hai- aadmiyon aur Jinn mein , taake shaytan in mein ek dusre par qafiya daalta hai banawat ki baat se ,( ya dhoke ke saath) )” (6: 112)

📚Imam Ahmad ke Musnad mein bayaan kiya gaya hai ki Abu Dharr(R.A) ne kaha ki, ” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaate hai, 👉🏻( ” Aye Abu Dharr! Allah(swt) se panah maango, insaani aur Jinnon ke darmiyaani iblis se.) Abu Dharr(R.A) ne kaha, ” Maine Aapse pucha, ‘ Kya insaanon mein bhi iblees hote hai?” Aap ne farmaya, (“Haan”)

👉🏻Aur aage , yeh bhi bayaan kiya gaya Sahih Muslim mein ki Abu Dharr(R.A) ne kaha ki Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) farmaate hai, ( Aurat, ghadah (donkey) aur kaala kutta, Namaz ko radd kardete hai, ( agar woh un ke saamne se guzar jaaye , jo bina Sutrah ( yaane koi rukawat ki cheez) ke bina Namaz ada kar rahe ho toh ) . Abu Dharr (R.A) ne kaha, ” Maine pucha, ” Kaale kutte aur laal ya peele kutte mein kya farq hai,” Tab Aapne farmaya , (Kaala kutta iblees hai)”

💫AR-RAJIM KE MAANE 💫⤵

📝Ar-Rajim ka matlab hai, sab tarah ki acchayion se , bahar nikaal dena. Allah(swt) farmaate hai, (Aur beshaque, hamne nazdeeki jannat ko chiraagon se roshan kardiya hai, aur Hamne aise chiraagon ko Rujuman ( missiles ki tarah) banaya hai , Jo Shayatin ( iblees) ko dur bhagaate hai. (67:5)

📝 Allah(swt) yeh bhi farmaate hai, (“Aur beshaque! Humne neeche ke aasmaan ko sitaron ke singaar se araasta kiya. Aur nigaah rakhne ko , har shaytaani sarkash se. Aalim farishton ki taraf kaan nahi laga sakte, aur in par har taraf se maar phenk hoti hai. Inhe bhagaane ko aur inke liye hamesha ka azaab. Magar jo ek aadh baar, chuk le chala, toh roshan angaar iske peechey laga.)( 37: 6-10)

📝 Aur aage, Allah(swt) ne farmaya, ( Aur beshaque, hamne aasmaan mein burj banaye, aur isey dekhnewalon ke liye araasta kiya. Aur isey humne har shaytan mardud se mehfuz rakha. Magar jo chori chupe sunne jaaye toh , iske peechey padta hai roshan sholey. )(15: 16-18).

💞💞💞💞💞💞💞💞💞

END OF LESSON: 6….

TO BE CONTINUED……..

 

 

 

 

And Allah Knows Best

✨💞✨💞✨💞✨💞✨

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.

Lesson :5 ISTI’ADHAH KA MATLAB KYA HAI

AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷


Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhU

 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚 LESSON NO:- 5⃣ 📚

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ

🔻ISTI’ADHAH KA MATLAB KYA HAI 🔻⤵

👉🏻Isti’adhah ka matlab hai, ” Main panah maangta hun Allah(swt) se, shaytaan mardud ke shay se, taake woh mere deen aur duniyavi marhale mein dakhal dene se dur rahe, ya mujhe rok na sake woh kaam se , jo mujh par hukum hue hai, ya mujhe un kaamon mein mashgul na kardey , jo mujh par haram kharar di gayi hai.” Beshaque sirf Allah(swt) hi hai , jo Adam ki Aulad ko panah de sakta hai , shaytaan ke shikanje se, aur nazdeek aane se. Isliye Allah(swt) pasand karta hai,ke ham insaani shaytaan se narmi aur rahem se pesh aaye, taake insaan ki narmi aur rahem , shayad usey(shaytaan) ko buraayi karne se rok le.

👉🏻Behrehaal, Allah(swt) chahata hai ki hum Ussey (Allah(swt) ) se panah maange, shaytaan ki buraayi se bachne ke liye, kyun ki woh na toh rushwath manzur karta hai , aur naahi rahem , usey asar kar sakti hai, kyun ki woh pura shaytaan hai. Isliye , sirf Woh (Allah(swt) ) hi , jisne Satan ko banaya, Wahi usey rok sakta hai.

👉🏻Yeh maane(matlab), Qur’an mein sirf theen(3) ayat mein bayaan kiya gaya hai.

📖 Allah(swt) ne farmaya: ( Maaf karna ikhtiyaar karo, aur bhalaayi ka hukum do aur jahelon se dur raho (yaane unhe saza mat do) ) (7: 199) . Yeh insaan se bartaaw karne ke maamle mein hai.

📖Aur Allah(swt) ne wahi Surah mein farmaya: ” Aur agar Shaytaan ne tumhe waswason meun daalde , toh phir Allah(swt) se panah maango. Beshaque! Woh sab sunnewala aur jaannewala hai.” (7: 200)

📖 Allah(swt) ne yeh bhi farmaya:(” Buraayi ko dur karo, ussey jo behether hai. Hum achi tarah jaante hai, woh cheezein jo woh (shaytaan) kehta hai. Aur kaho: ” Aye mere Rabb! Main tujse panah maangta hun, shaytaani waswason se. Aur tujse hi panah maangta hun, mere Rabb! Ke woh mere paas na aaye.”(23: 96-98) .

📖 Aage Allah (swt) farmaate hai: (” Aye sunnewale! Buraayi ki bhalaayi se dur karo, jab ki woh ke tujmein aur us mein dushmani thi, aisa ho jayega, jaise ke tun ghere dost ho. Aur yeh daulat har kisi ko nahi milti, siwaye sabr karnewalon ko-aur sab ko nahi milti , siwaye uske jiska bada hissa{ Khushi ka Akhirath (yaane jannat) aur jiska darja unche kirdaar ja hai}is duniya mein. Aur agar shaytaan ne aap ko waswason mein daalde, acha karne se , Aye Muhammad( SslAllahu alaihi wa sallam)! Toh Allah(swt) se panah maangna. Beshaque! Woh sab su newala aur jaanne wala hai.( 41: 34-36)

💞💞💞💞💞💞💞💞💞

END OF LESSON 5……..
And Allah Knows Best

✨💞✨💞✨💞✨💞✨

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.

Lesson:13 (i)KYUN HAMD(TAREEF) PAHELE BAYAAN KIYA GAYA (ii)IMAANWALE , HIDAYAT KI TALAB KARTE HAI AUR US PAR QAYAM RAHTE HAI

AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷

In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.

💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu

 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚 LESSIN NO: 1⃣3⃣ 📚
(SURAH AL-FATIHAH)
( PART : A)
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ

👉🏻AYAH:-
﴿اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ –
(Hamein seedhe raaste ki taufeeq (Hidayat) ata farma.

🔰KYUN HAMD(TAREEF) PAHELE BAYAAN KIYA GAYA

🔸Jabse Allah(swt) ki tareef jissey hum madad talab karte hai, bayaan ki gayi hai, yeh bilkul sahi aur jayaz hai ki jo bhi Uski madad maangta hai, hamd karte hue maange. Humne ne bataya tha ki Allah(swt) farmaate hai, (Ek aadha mere liye aur ek aadha Mere Bandey ke liye, aur Mera banda woh paayega jo usne pucha hai. )

🔸Yeh sabse behethreen tareeqa hai , madad talab karne ke liye, pahele tareef kare Uski , jissey hum madad talab karte hai aur phir Uski madad maange, aur khud ki madad karey, aur apne Muslim bhaiyyon aur bahenon ke liye maange.

﴿اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ –
(Hamein seedhe raaste ki taufeeq (Hidayat) ata farma.

🔸Yeh tareeqa sabse sahi aur munasib hai apne duaon ko (apni azizi maangon) ka positive jawab paane ke liye, aur Allah(swt) ne yehi tareeqa ko behther tareeqa farmaya hai.

🔸Madad maangna , us shaks ki halath ki (condition) mein tabdeel ho jata hai, jo madad maangne jhuka hua hai.

📖 Misaal ki taur par , Paigamber Musa (alaihi salaam) ne kaha, (” Aye Mere Rab! Beshaque , main zarurathmand hun, un saari achaayion ki , jo Tune mujpar bakshi hai.”)(28:24)

📖 Aur bhi, Hum ko pahele Uske Asma-us-sifaat bayaan karni chahiye , Jissey hum maang rahe hai, jaise ke Dhun-Nun ne kaha ( ‘La ilaha illa Anta ‘) (‘Koi nahi hai bar haq ibadat ke qaabil siwaya Tere Aye Mere Allah(swt) ‘),tu jo bada Meherbaan aur (Gaalib) hai ( Unsab se Ala aur Upar jissey woh tujhe shareek karte hai)! Beshaque! Main gunhegaaron mein se hun.”) (21:87)

🔸Iske alawa bhi , koi bhi Uski hamd kar sakta hai ,bina kuch talab kiye.

🔸Hidayath ke maaney , Surah mein bayaan kiya gaya hai. Hidayath jo Surah mein bayaan kiya gaya hai, ruju karta hai hamein taufeeq ata hui hai sahi raaste ki kaamyaabi ki taraf.

🔸Allah (swt) farmaate hai:

﴿اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ –
(Hamein seedhe raaste ki taufeeq (Hidayat) ata farma )
Maane hamein hidayath , zariya , ruju aur sahi taufeeq
Ata karna .

📖 Aur (” Usko do raaste bataao( Achayi aur buraayi”)/(sahi aur galath)(90:10) matlab ‘ Humne usey do raaste acchayi aur buraayi ke (sahi aur galath ke) samjhaya hai.”

📖 Aur, Allah(swt) farmaate hai Usne(Allah (swt) ) usko ( apna khaas dost )chuna hai, aur unhe sahi raaste ki hidayat farmaayi.”) (16:21)

📖Aur, (” unhe Jalte hue Jahannum(Dozakh) ki aag ki taraf dhakla hai “)(37:23)

📖 Usi tarah, Allah (swt) farmaate hai, (” Aur beshaque! Aye Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) , tum beshaque insaaniyath ko Achaayi ke raaste ki taraf hidayath karte ho.”)(42:52)

💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON :13 PART A

 

 

PART :B

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚 LESSON NO:- 1⃣3⃣📚
(SURAH AL-FATIHAH)
{ PART:B }i

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ
👉🏻AYAH:-

﴿اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ –
(Hamein seedhe raaste ki taufeeq (Hidayat) ata farma)

📖 Aur, (“Saari tareefein aur shukr , Allah(swt) ke liye hai, Jisne hamein iski hidayat ata farmaayi”.)7:43 matlab, hamein hidayata ki, aur hamein us taraf ruju kiya aur qaabil banaya is Akhirath ke liye- Jannah.(ke liye)

🔰IMAANWALE , HIDAYAT KI TALAB KARTE HAI AUR US PAR QAYAM RAHTE HAI.

🔸Agar kisi ne pucha, ” Kyun kar Imaanwale , Allah(swt) se , apni ibaadat mein aur dusre waqaton par bhi , hidayat ki talab karte hai, jab ke unhe pahele se hi hidayat ata ki gayi hai. Kya woh pahele hi hidayat haasil nahi kar chuke”?

🔸Is sawaal ka jawab hai ki agar yeh sach na hota ke imaanwale , din aur raat , Allah(swt) se hidayat talab karte rahe, Allah(swt) kabhi na unhe ruju karta ke , Usey dua(maango/ talab) karo , hidayat haasil karne ke liye.

🔸Bandey ko hamesha Allah (swt) , jo Gaalib hai, ki madad chahiye , apne zindagi ke har lamhe mein mein, apne hidayat ke sahi raaste par qayam rahne ke liye aur khud ko us raaste par mazbooth aur barkharar rakhne ke liye. Bandey ke paas kuch ikhtitaar ya taqaat nahi hai ki, woh khud ke liye kuch behther kare ya phir kuch nuksaan karle. Isliye Allah(swt) apne bandon se kahta hai ke , woh hamesha ussey talab karey , (pukaarte rahe), taake Woh unhe ,Uski madad pahunchate rahe aur qayam aur kaamyaab karey.

🔸Beshaque, khushhaal shaks woh hai jise Allah (swt) se hidayat haasil hui hai. Yeh khususan us waqt ke liye hai, agar banda fouran Allah(swt) ki madad talab karta ho , din ho ya raat. Allah(swt) farmaate hai,

📖(” Aye logon jo imaan rakte ho! Allah(swt) par imaan laao, aur Uske Rasool (Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) par, aur Uski Kitaab (Al Qur’an ) par,jo Usne Apne Rasool par naazil ki hai aur un Kitaabon par jo Usne Aap (Rasool)se pahele naazil ki hai. “)(4:16)

🔸Bas is tarah,is Ayah mein Allah(swt) ne imaanwalon ko hukum diya ke imaan laaye, aur yeh hukum bekaar nahi hai kyun ki yahan jo chahiye woh hai pokhtha yaqeen aur achey amaal ko bine roke jaari rakhna , jo madad karega hamein imaan ke raaste par qayam rahne mein.

📖 Aur, Allah(swt) ne hukum diya Apne Imaanwale bandon ko ke elaan kare, (” Aye Hamare Rab! Hamare dilon ko sachaayi ke raaste se bhatakne na dena , hamari hidayat karne ke baad, aur hum par Teri Rahem farma. Beshaque, Tu bada Meherbaan hai.”)(3:8)

📖Isliye, اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ – (Hamein seedhe raaste ki taufeeq (Hidayat) ata farma) matlab,” Hamein hidayat ke Raaste par qayam farma aur hamein ussey bhatakne na de.”

🔰SIRAT AL MUSTAQIM- SEEDHA RAASTA , KA MAAYNA(MATLAB) 🔰
🔸Ummah raazi hai ke Sirat Al -Mustaqim, hi khula saaf ek hi raasta hai bina koi shaaqon ke, Arabic zaban mein. Seedha raasta jo Qur’an mein bayaan kiya hai woh Islam hai.

💞💞💞💞💞💞💞💞💞
End of Lesson no 13 (part: B)

And Allah Knows Best

✨💞✨💞✨💞✨💞✨

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.

 

Lesson:12 (i)”IBAADAH” KA ZABAANI AUR DEENI MAANA/MATLAB. (ii)ALLAH(SWT) APNE RASOOL( SalAllahu alaihi wa sallam) KO APNA ‘ABD’ KAHA HAI.

“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷

In the Name of Allah(swt) the Most Merciful and the Most Beneficial”.

💝 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu 💝

 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

📚 LESSON NO :- 12 📚
(SURAH AL-FATIHAH )

AYAH : إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِين ُ

(5. Hum sirf teti hi ibadat karte hai, aur tujse hi madad chahte hai)

🔰”IBAADAH” KA ZABAANI AUR DEENI MAANA/MATLAB.🔰

🔸Zabani lehaaz se ‘ibadah’ ke maaney hai supurd kar dena. Aur Deeni ilm-ul-istilah(zabani alfaaz) se,
“Ibadah” ka matlab hai , behad mohabbat, aajizi aur dar.

🔰AMAL KE MAQSAD KO AMAL KARNEWALE SE PAHELE KHOOBI BAYAAN KARNA, AUR INKE INKAAR KARNE KI KHOOBI/ YA(SAZA).🔰

🔸”Hum.. madad chahte hai” , ka matlab hai , hum Tere hi ibadat karte hai aur kisi ki nahi, aur Tere hi madad ke talbgaar hai aur kisi ke nahi. Yeh tabedaari (farmabardaari) ka behthreen tareeqa hai aur deen-e-Islam , isi do khayalaath par buniyaad hai. Kuch Salaf kehte hai ki , Al-Fatihah , Qur’an ka raaz hai , jabki yeh alfaaz , raaz hai Al-Fatihah ke.

🔸 Pahela hissa elaan karta hai Shirk se masumiyath ka, jabki dusra elaan karta hai kisi taqath ya mazboothi ka inkaar, is baat ko zaahir karte ki saare mamelaath ka ikhytiyaar sirf aur sirf Allah(swt) ke haath mein hai.

🔸 Iske maaney , Qur’an mein kayi mauqon par bayaan kiya gaya hai.

📖 Misaal ki taur par, Allah (swt) farmaate hai, 👉🏻 (” Uski ibadat karo , Aye Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) aur Is par bharosa rakho . Aur tumhara Rab tumhare(logon ke) kaamon se gaafil nahi hai.”) (11: 123).

📖 👉🏻(Kaho: ” Woh (Allah(swt) bada hi Meherbaan hai, hum Uspar imaan laate hai, sirf Uspar hi yaqeen rakhte hai.”) (67: 29)

📖Woh akela hi Rab hai mashreek(purab)ka aur magreeb(paschim) ka. La ilaha illa Huwa ( koi nahi hai mabood(bar haq) , Iske siwa). To tum Ise apna kaarsaaz banali. ( har maamlon ka pura karnewala) ) , (73:9)

🔸Hum ko yeh batadena chahiye ki , is Ayah mein jo taqreer istemaal ki gayi hai , woh theesre ism zameer (pronoun (third person)) se se direct kalaam(direct speech) mein tabdeel kiya hai ‘kaf’ ko bayaan ‘Iyyaka’ (tum) mein lekar. Yeh isliye kiya kyun ke jab banda Apne Allah (swt) ki hamd karta hai aur shukr ada karta hai, woh Allah(swt) ke saamne tehra hua hota hai , aur woh direct Allah(swt) se muntaqib hota hai.

🔰 AL-FATIHAH ISHARA KARTA HAI ALLAH(SWT) KI TAREEF (HAMD) KI ZARURATH.YEH HAR NAMAZ(IBADAT) MEIN ZARURI HAI. 🔰

🔸Surah Al-Fatihah ki shuraath mein shaamil hai Allah(swt) ki tareef , khud Apneliye, Uske sabse behthreen Asma-ul-Husna ke saath, aur ishara karta hai apne bandon ko ki woh bhi isi tarah Uski hamd karey. Isliye , sirf Namaz padhna mukammal nahi hota jabtak ke woh Al-Fatihah ki tilawath na kare, agar woh qaabil hai.

📚 Do Sahihyon mein darj hai ki , ‘Ubadah bin As-Samit ne kaha hai ki., Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaaya, kisi ki bhi koi Namaz mukammal nahi hai, jabtak ke woh Kitaab ki Al-Fatihah ki tilawath na ki ho. .

🔸 TAWHID AL ‘ULUHIYAH ( Teri hi ibadat) ka matlab hai, ” Woh , Tu hi hai jo Wahed hai, Jiska humko dar hai aur Jispar hum.Umeed rakhte hai. TU akela(Wahed), hamara Rab, aur koi nahi.

🔸TAWHID AR-RUBIYYAH ( Aur tujhse hi madad maangte hai), teri farmabardaari mein aur hamare har maamle (amlon) mein.” Is Ayah mein , Allah (swt) ka hukum hai, hamare liye ki hum khusoo(imaanse) se Uski ibaadat kare, aur Uski madad talab kare, hamare har maamlon mein.

🔸Allah (swt) bayan karteُ hai ﴿إِيَّاكَ نَعْبُدُ ُ ﴾” ( Teri hi ibaadat karte hai) pahele َ ُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ ﴾” ( aur Tere hi madad maangte hai) , kyun ke yahan par maqsad Ibaadat hai, aur is maqsad ko pura karne ke liye, Allah(swt) ki madad hi zariya (hathyaar) hai. Beshaque, hum pahele us kaam ka khayaal karna chahiye jo zyadah ehmiyath rakhta ho, aur phir woh kaam jiski ehmiyath kam ho., Allah(swt) behether jaanta hai.

🔰ALLAH(SWT) APNE RASOOL( SalAllahu alaihi wa sallam) KO APNA ‘ABD’ KAHA HAI. 🔰

🔸Allah(swt) , Apne Paigamber ko ek Abd(banda/gulaam) kehkar pukara hai, jab Woh , Apni Kitaab ko naazil karne ka bayaan kiya, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka shaamil hona , jab Uski taraf dawath di, aur jab Isra( ek raat ka safar Makkah se Jerusalem tak aur phir Jannath tak) ka zikr kiya, aur yeh saare Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki behad izzatafzaahi muhim the.

📖Allah (swt) farmaate hai, (” Saari hamd aur shukr Allah(swt) ke liye hai, Jisne , Apne bandey Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) par Apni Kitaab (Qur’an-ul-Kareem) naazil ki.”)📌(18:1)

📖 (” Aur jab Allah (swt) ka banda(Muhammad (SaAllahu alaihi wa sallam) , Uski (Apne Rab-Allah(swt) ) ki bandagi karne ke liye khada hua , (72:19) aur,

📖 (” Paaki hai Usey (Allah(swt) , jo raaton raat apne bandey ko le gaya Masjid-e-Haram se Masjid -e-Aqsa tak. “) (17:1)

🔰MUSIBATON KE WAQT ZYADAH SE ZYADAH IBADAH KARNA MUSTAHAB HAI 🔰

🔸Allah(swt) ne Apne Paigamber (SalAllahu alaihi wa sallam) ko , mushrikeen k jo Aap ki nafarmaani aur inkaar karne ki wajeh se , pareshan aur musibaton hue , us waqt zyadah se zyadah ibadath karne ke liye ruju kiya.

📖 Allah(swt) farmaate hai, (” Beshaque! Hamein malum hai ke in ki baaton se tumdil tang hote ho. Toh apne Rab ko sarahte hue , Iski Paaki (hamd) bolo aur sajdewalon mein ho. Aur marte dam tak apne Rab ki ibadat mein raho.”) (15: 97-99)

💞💞💞💞💞💞💞💞💞
END OF LESSON 12……..

And Allah Knows Best

✨💞✨💞✨💞✨💞✨

 

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen 💝

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.

 

lesson:4 (1)QUR’AN KI TILAWATH SHURU KARNE SE PAHELE PANAH MAANGNA  (2)PANHA MAANGNA ALLAH (SWT) SE  JAB KOI GUSSA HO. 

“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷


 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎


    📚LESSON NO:- 4⃣📚


بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ

🔻QUR’AN KI TILAWATH SHURU KARNE SE PAHELE PANAH MAANGNA 🔻
Allah(swt) ne farmaya, (toh jab tum) chahte ho -{ Qur’an ki tilawath karna, Allah(swt) se panha maango, Shaytaan mardud se. Matlab,  Qur’an ki tilawath karne se pahele.

🔻PANHA MAANGNA ALLAH (SWT) SE , JAB KOI GUSSA HO. 🔻
Al-Bukhari ne darj kiya ki Sulayman bin Surad (R.A) ne kaha, ” Do aadmi, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke maujudgi mein , jab hum sab Aap ke saath baite hue the bahez kar rahe the. Ek shaks dusre shaks ko kos raha tha, aur uska chehra gusse se laal ho gaya. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaya
👉(” Main jaanta hun ek aisa bayaan jo agar woh kahega, usey aisa mehsus karaayega , jaise ke woh gayab ho gaya ho. ‘ Main Panah maangta hun , Allah(swt) se , shaytaan mardud se’ .)
Woh us shaks se kahe,’ Kya tumne nahi suna, jo Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha?” Us shaks ne kaha, ” Main bewakuf nahi hun.” 

🔻KYA ISTI’AADAH(PANAH MAANGNA) ZARURI HAI🔻⤵


👉Isti’adhah Namaz aur Qur’an ki tilawath karte waqt zaruri hai. Is ayah ke khule maane ka mutala hai, , ﴿فَاسْتَعِذْ (phir panah maango) . Yeh Ayah mein maujuud hai hukum jo amal karna zaruri hai. Aur Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) hamesha “Isti’adhah” kehte the. 

👉Is ke alawa, Isti’adhah Satan ki buri nazar ko dur karta hai, jo zaruri aur ahem hai, is dastur ka matlab hai, zarurat ko amal mein lana, jo apne aap mein bhi ek  mazhabi amal ho. Aur jab koi kahega, ” main panah maangta hun Allah(swt) se, shaytaan mardud se. Tab yeh kifayath hogi. 

🔻ISTI’ADHAH KE KHUSUSIYAATH 🔻


👉Isti’adhah zaban aur muh ko paak karta hai, buri baaton se jo yeh hamesha karne mein masruf rehta hai.

👉Yeh muh ko bhi paak kar deta hai aur tayar karta hai isey Allah(swt) ki baaton ka zikr karne ke liye. 
👉Aur iske aage, Isti’adhah hamein Allah(swt) ki madad lene ki hikmath karta aur Allah(swt) ki azmath aur khabiliyath ka mutala deta hai.
👉Isti’adhah , bandey ko apne andar ke dushman ka saamna karne mein  kamzori, aziziyana bartaaw aur uski na khabhiliyat izhaar karta hai, jise sirf Allah(swt) , jinhone yeh dushman ko banaya, akele hi harakar dur kar sakte hai. Yeh dushman hargeez bhalaayi nahi apna sakta, insaani dushman ki tarah.
👉Allah(swt) farmaate hai, ( Beshaque! Mere bandey(yaane Islam ke Tawheed hone par yaqeen aur imaan rakta ho. Tumhe unpar koi haq nahi. Kaafi hai tumhara Rabb , jo Hifazatkarnewala hai. (17:65)
👉Humein  yeh bhi  kahna chahiye ki, imaanwale,  jo apne insaani dushmanon ke haath maare gaye woh shaheed hue ,aur woh jo apne dilon ke ander ke dushmanon ke hathon maare gaye- yaane Shaytaan ke haathon , woh daaku (gumraah) ho gaye.
👉 Aur,yeh bhi ke , imaanwale jo mushrikeen ke hathon haar gaye, unhe inaam milega, jabki woh jo apne ander ke dushman ke haathon haar gaye , unhe gunah haasil hoga aur woh gumraah ho jayenge.

👉Kyun ke Shaytaan , aadmi ko wahan dekh sakta hai, jahan aadmi usey nahi dekh sakta, isliye yeh behether hai ki Imaanwale Shaytaan se panah maange, ussey Jisey shaytaan dekh nahi sakta. Isti’adhah, Allah(swt) ke khareeb aane ka ek tareeqa hai aur Unse panah maanga , buraayi se aur har buri maqlukhaath se. 
Aur Allah(swt) behther jaanta hai. 
💞💞💞💞💞💞💞💞💞

END OF THE LESSON : 4….

If you would like to read the same lesson in English – please choose English translation Lesson :4 option.

Kindly share this beautiful ayah of the day with your family & friends .

In sha Allah  Jazak Allah Khair  🙂


LESSON-3 – (i)ISTI’ADAH( PANAH MANGNA) KI TAFSIR

bismillahirrahmanirrahim resimleri9

“AN AYAH A DAY KEEPS THE SHAITAAN AWAY”

🌷BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.🌷

 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu 

💎EK AYAH EK DIN MEIN💎

    📚LESSON NO: – 3📚

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـنِ الرَّحِيمِ

💫ISTI’ADAH( PANAH MANGNA) KI TAFSIR 💫

Allah(swt) ne farmaya :-
📖 ” Maaf karna ikhtiyaar karo; bhalaayi ka hukum do, aur jahelon  se dur raho( yaane unhe saza mat do). Aur agar shaytaan  tumhe waswason mein daalne laga toh , Allah(swt) se panah maango. Beshaque , Woh sab sunnewala aur jaanne wala hai.” (7: 199-200)

📖(” Buraayi ko dur karo, ussey jo behether hai. Hum achi tarah jaante hai , woh cheezein jo woh(shaytaan) kehta hai. Aur kaho: ( “Aye mere Rabb! Main tujse panah maangta hun, shaytaani waswason  se. Aur Tujse panah maangta hun, mere Rabb! Ke woh mere paas na aaye.”( 23: 96-98) aur,

📖( Aye sunnewale, buraayi ko bhalaayi se dur karo, jab hi woh ke tuj mein aur us mein dushmani thi , aisa ho jayega , jaise ke ghere dost  ho. Aur yeh daulat har kisi ko nahi milti, siwaye sabr karnewalon ko- aur sab ko nahi milti , siwaaye  uske jiska bada hissa ( khushi ka Akhirath ( yaane jannat ) aur jiska darja unche kirdaar ka hai) is duniya mein. Aur agar shaytaan ne aap ko waswason mein daalde , acha karne se Aye Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) !, toh Allah(swt) se panah maangna. Beshaque! Woh sab sunnewala aur jaanewala hai.”) (41: 34-36)

Yeh theen(3) ayat hai , jo yeh  maane (matlab) bayaan karte hai. Allah(swt), hukum farmaate hai, ke hum hamare dushman se narm pesh aaye, taake woh hamare ache bartwaav se woh hamara habeeb aur saath denewala ban jaaye. Woh(Allah(swt) ) hamein yeh bhi hukum deta hai ki hum shaytaani dushmanon ke khilaaf, Allah(swt) se panah maange, kyun ki buraayi, apni dushmani  barkharar nahi rakh sakti , agar hum ussey narm aur hamdardi se pesh aaye. Shaytaan , hamesha Adam ke beton ka nuksaan chahta hai, apni gheri dushmani aur nafrat ki wajeh se , jo usko( shaytaan) hamesha thi insaan ke  waalid Adam se.

Allah(swt) farmaate hai, ” Aye Adam ki Aulaad! Shaytaan ko tumhe gumraah karne mat dena, kyun ki woh tumare Maa-baap Adam aur Hawwa ko jannath ke bahar kar diya .           (7: 27)

Beshaque , Shaytaan tumhara khula dushman hai, toh tum ussey dushman ki tarah hi pesh aao. Woh sirf apne hi Hizb( maannewalon) ko hi dawat deta hai, taake woh dozak ki aag ke rehnewale ho jaaye.“( 35:6)

Aur ,( agar tum usko (Iblis)  aur uski aulaad ko apna panahgaar aur madadgaar banaloge, Mujhe chodkar , jabke woh tumhara khula dushman hai toh  yeh Zalimum( mushrikeen aur buraayi  karnewalon)ke liye kitna acha badlaa hoga) (18:50)

Shaytaan ne Adam ko tassali di je woh unhe nasihath kar raha hai , lekin woh jhooth bol raha tha. Isliye , woh hamse kaise acha  bartaaw karega jab ke woh kasam khaya hua hai.(” Aap ke taqaat se , phir main beshaque inhe gumraah karunga. Siwaaye unke jo Aap ke chune hue bandey hai( yaane Imaanwale, farmabardaar, Islam ke farayez par Imaan laaye hue hai.”)(38: 82-83)

Aur, Allah(swt) ne farmaya: ( toh jab tum) chahte ho- {Qur’an ki tilawath karna, Allah(swt) se panha maango , Shaytaan mardud se. Beshaque! Iska koi khaabu nahi in par jo imaan  laaye aur apne Rabb par hi bharosa rakte hai. Uska(shaytaan) ka khaabu  unpar hai , jo issey dosti karte hai aur issey shareek tehraate hai.”) (16: 98-100)

💞💞💞💞💞💞💞💞💞

END OF  LESSON 3…….

TO BE CONTINUED……..

SUBSCRIBE NOW TO GET THE DAILY AYATH DIRECTLY IN YOUR MAIL BOX & INVITE YOUR FRIENDS & FAMILY MEMBERS TOO! IN SHA ALLAH

We have embarked upon a new journey of learning AN AYAH A DAY & I request you all to keep the same decorum & enthusiasm in learning our deen.

May Allaah accept it from us & you all.

💞Ameen ya Rabbul Alameen    

Jazakumullaahu khairan katheeran katheera.